संवाद ज़रूरी है
सुबह, शाम और रात के उन लम्हों से
जो ख़ूबसूरत होते हुए भी
कुछ के लिए
किसी भयानक टीस की तरह हैं।
संवाद ज़रूरी है
उन मुट्ठियों से
जो हक़ के लिए तनने से पहले ही
डर जाती हैं कि कहीं
पूरा हाथ ही न काट दिया जाए।
संवाद ज़रूरी है
उस घर से
जिस घर में युवराज के
छद्म क़दम तो पड़ते हैं
मगर रोटी के चंद टुकड़ों के
लड़खड़ाते क़दम भी नहीं पड़ते।
संवाद ज़रूरी है
उस पैसे से
जो अनाज के दानों पर लिखे
ग़रीब, मज़दूर के नामों को काट कर
उस पर अमीरों का नाम लिख देता है।
संवाद ज़रूरी है
उन आर्थिक नीतियों से
जो देश को महाशक्ति तो बनाती हैं
मगर भूखों के पेट में
दो दाने भी नहीं उड़ेल पातीं।
संवाद ज़रूरी है
धर्म के उन ठेकेदारों से
जो ईंट, पत्थर से बनी बेजान इमारतों के लिए
इंसान को इंसान के ख़ून का
प्यासा बना देते हैं।
संवाद ज़रूरी है
उस आधी दुनिया से
जिसका दामन हक़ से ख़ाली है,
और जो बाज़ारवाद की बलिबेदी पर
मजबूर है चढ़ने के लिए।
संवाद ज़रूरी है
उन ग़रीब के बच्चों से
जिनकी आँखों में
आसमाँ छूने का ख़्वाब तो है
मगर जूठे बरतन धोने के सिवा
कोई पंख नहीं हैं उनके पास।
संवाद ज़रूरी है
हर उस शय से
जिसकी ज़द में आकर
तहज़ीब, रवायत और इंसानियत
सब अपना वजूद खो रहे हैं।
sanwad zaruri hai
subah, sham aur raat ke un lamhon se
jo khubsurat hote hue bhi
kuch ke liye
kisi bhayanak tees ki tarah hain
sanwad zaruri hai
un mutthiyon se
jo haq ke liye tanne se pahle hi
Dar jati hain ki kahin
pura hath hi na kat diya jaye
sanwad zaruri hai
us ghar se
jis ghar mein yuwaraj ke
chhadm qadam to paDte hain
magar roti ke chand tukDon ke
laDkhaDate qadam bhi nahin paDte
sanwad zaruri hai
us paise se
jo anaj ke danon par likhe
gharib, mazdur ke namon ko kat kar
us par amiron ka nam likh deta hai
sanwad zaruri hai
un arthik nitiyon se
jo desh ko mahashakti to banati hain
magar bhukhon ke pet mein
do dane bhi nahin uDel patin
sanwad zaruri hai
dharm ke un thekedaron se
jo int, patthar se bani bejan imarton ke liye
insan ko insan ke khoon ka
pyasa bana dete hain
sanwad zaruri hai
us aadhi duniya se
jiska daman haq se khali hai,
aur jo bazarawad ki balibedi par
majbur hai chaDhne ke liye
sanwad zaruri hai
un gharib ke bachchon se
jinki ankhon mein
asman chhune ka khwab to hai
magar juthe bartan dhone ke siwa
koi pankh nahin hain unke pas
sanwad zaruri hai
har us shai se
jiski zad mein aakar
tahazib, rawayat aur insaniyat
sab apna wajud kho rahe hain
sanwad zaruri hai
subah, sham aur raat ke un lamhon se
jo khubsurat hote hue bhi
kuch ke liye
kisi bhayanak tees ki tarah hain
sanwad zaruri hai
un mutthiyon se
jo haq ke liye tanne se pahle hi
Dar jati hain ki kahin
pura hath hi na kat diya jaye
sanwad zaruri hai
us ghar se
jis ghar mein yuwaraj ke
chhadm qadam to paDte hain
magar roti ke chand tukDon ke
laDkhaDate qadam bhi nahin paDte
sanwad zaruri hai
us paise se
jo anaj ke danon par likhe
gharib, mazdur ke namon ko kat kar
us par amiron ka nam likh deta hai
sanwad zaruri hai
un arthik nitiyon se
jo desh ko mahashakti to banati hain
magar bhukhon ke pet mein
do dane bhi nahin uDel patin
sanwad zaruri hai
dharm ke un thekedaron se
jo int, patthar se bani bejan imarton ke liye
insan ko insan ke khoon ka
pyasa bana dete hain
sanwad zaruri hai
us aadhi duniya se
jiska daman haq se khali hai,
aur jo bazarawad ki balibedi par
majbur hai chaDhne ke liye
sanwad zaruri hai
un gharib ke bachchon se
jinki ankhon mein
asman chhune ka khwab to hai
magar juthe bartan dhone ke siwa
koi pankh nahin hain unke pas
sanwad zaruri hai
har us shai se
jiski zad mein aakar
tahazib, rawayat aur insaniyat
sab apna wajud kho rahe hain
स्रोत :
रचनाकार : वसीम अकरम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.