(उस्ताद बिस्मिल्लाह खान को समर्पिंत)
सुरीली लगती है अज़ान
और मंदिरों की घंटियों की आवाज़
सुर की डगर है भगवान तक पहुँचने का रास्ता
और राग़ ख़ुदा का घर
तुम देवताओं के घरों के लिए लड़ते हो
पर क्या जानते हो कहाँ रहते हैं देवता
त्रिशूल, तलवार और गड़ासा लेकर
जब तुम निकलते हो सड़क पर
ख़ून के प्यासे होकर
मैं देख पाता हूँ तुम्हारी आत्मा से
कूच कर गया है तुम्हारा भगवान
प्रार्थना करता हूँ
वह लौट आए तुम्हारे भीतर
जब तुम प्यार करते हो बच्चों को बच्चों की तरह
गले मिलते हो किसी अनजान को भाई मानकर
मुझे तुम्हारी देह
सच मानो
भगवान का सबसे पवित्र घर लगती है
(ustad bismillah khaan ko samarpint)
surili lagti hai azan
aur mandiron ki ghantiyon ki avaz
sur ki Dagar hai bhagvan tak pahunchne ka rasta
aur raagh khuda ka ghar
banaras mere liye kaba hai
tum devtaon ke gharon ke liye laDte ho
par kya jante ho kahan rahte hain devta
trishul, talvar aur gaDasa lekar
jab tum nikalte ho saDak par
khoon ke pyase hokar
main dekh pata hoon tumhari aatma se
kooch kar gaya hai tumhara bhagvan
pararthna karta hoon
wo laut aaye tumhare bhitar
jab tum pyaar karte ho bachchon ko bachchon ki tarah
gale milte ho kisi anjan ko bhai mankar
mujhe tumhari deh
sach mano
bhagvan ka sabse pavitra ghar lagti hai
(ustad bismillah khaan ko samarpint)
surili lagti hai azan
aur mandiron ki ghantiyon ki avaz
sur ki Dagar hai bhagvan tak pahunchne ka rasta
aur raagh khuda ka ghar
banaras mere liye kaba hai
tum devtaon ke gharon ke liye laDte ho
par kya jante ho kahan rahte hain devta
trishul, talvar aur gaDasa lekar
jab tum nikalte ho saDak par
khoon ke pyase hokar
main dekh pata hoon tumhari aatma se
kooch kar gaya hai tumhara bhagvan
pararthna karta hoon
wo laut aaye tumhare bhitar
jab tum pyaar karte ho bachchon ko bachchon ki tarah
gale milte ho kisi anjan ko bhai mankar
mujhe tumhari deh
sach mano
bhagvan ka sabse pavitra ghar lagti hai
स्रोत :
रचनाकार : आशीष त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.