यह कौन है
जो चला आता है चुपचाप
एक निश्चित अंतराल के बाद
उसके आने से सबसे अधिक ख़ुश हैं बच्चे
क्योंकि बच्चों की पीठ और बस्ते के बीच
वह सुखों को लाता है बे-भार
दफ़्तर के बाबू
और न जाने कितने लोग
उसके आने से सेंकते हैं धूप में अपनी पीठ
वह नहीं आता है
किसी भी दिशा से और
इस तरह ख़ारिज करता है
सभी दिशाओं का वजूद
सात सीढ़ियों को पार कर
वह हस्तक्षेप करता है
कार्यालय की लय में
और बन जाता है एक अल्पविराम
कैसे कहूँ यह कोई और नहीं
बल्कि रविवार है
जो चला आता है मेरे घर में
पत्नी की आँखों की चमक बनकर।
ye kaun hai
jo chala aata hai chupchap
ek nishchit antral ke baad
uske aane se sabse adhik khush hain bachche
kyonki bachchon ki peeth aur baste ke beech
wo sukhon ko lata hai be bhaar
daftar ke babu
aur na jane kitne log
uske aane se senkte hain dhoop mein apni peeth
wo nahin aata hai
kisi bhi disha se aur
is tarah kharij karta hai
sabhi dishaon ka vajud
saat siDhiyon ko paar kar
wo hastakshaep karta hai
karyalay ki lai men
aur ban jata hai ek alp viram
kaise kahun ye koi aur nahin
balki ravivar hai
jo chala aata hai mere ghar men
patni ki ankhon ki chamak bankar.
ye kaun hai
jo chala aata hai chupchap
ek nishchit antral ke baad
uske aane se sabse adhik khush hain bachche
kyonki bachchon ki peeth aur baste ke beech
wo sukhon ko lata hai be bhaar
daftar ke babu
aur na jane kitne log
uske aane se senkte hain dhoop mein apni peeth
wo nahin aata hai
kisi bhi disha se aur
is tarah kharij karta hai
sabhi dishaon ka vajud
saat siDhiyon ko paar kar
wo hastakshaep karta hai
karyalay ki lai men
aur ban jata hai ek alp viram
kaise kahun ye koi aur nahin
balki ravivar hai
jo chala aata hai mere ghar men
patni ki ankhon ki chamak bankar.
स्रोत :
रचनाकार : अनिल त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.