ठेठ हिंदुस्तानी गर्मी-सी गर्मी है यह
हवा तपती ही जाती है इस दुपहर
जलाती है त्वचा को
छाया का टुकड़ा
किसी बिल्कुल अपने की तरह तन जाता है सर पर
और लू से जलती देह ही नहीं
आत्मा भी सुकून से खोल देती है अपने बंध
पुरवा में समाया
मिट्टी के घडे़ का आठ-दस घूँट पानी
जैसे जीवन-सा मिलता है देह को
पुरवा मिलता है होंठो से
जैसे माटी मिलती है माटी से
पुरानी नाद का छोटा प्रतिरूप
यह पुरवा
सुडौल
अपनी ही तरह का ख़ास
प्लास्टिक की अति के समय में
पुराने जीवन का विनम्र योद्धा
खड़ा है उसके सामने
बिना सकुचाए
शायद ललकारता-सा तुम
ख़ुद के ही जीवन को संकट में डालने वाली
लोलुप सभ्यता की नई खोज
और हम सबसे पुराने साथी मनुष्य के
तुम बने रहोगे धरती पर
मनुष्यों के जीवन पर
संकट की तरह
एक हम हैं हमें देखो
फेंके भी गए तो मिल जाएँगे उसी माटी में जहाँ से उपजे
पुरवा को हाथ में लेते
मेरी आखों में तैरती हैं
बचपन में गाँव में बितायी गर्मियाँ
और वे अनथक उत्साह से भरी दुपहरें
एक बग़ीचे से दूसरे बग़ीचे
एक घर से दूसरे घर के बीच
दौड़ते भागते हमारे पैर
और इस भागमभाग में सूखते हमारे कंठों में आया
मिट्टी के छोटे ज़मीन में थोड़े धँसे
घैलों के पानी की वह ठंडक
और वह स्वाद
मेरे होंठों से लगते ही यह पुरवा
खोलता है एक दरवाज़ा
पुरखों की दुनिया का
theth hindustani garmi si garmi hai ye
hava tapti hi jati hai is dopahar
jalati hai tvacha ko
chhaya ka tukDa
kisi bilkul apne ki tarah tan jata hai sar par
aur lu se jalti deh hi nahin
aatma bhi sukun se khol deti hai apne bandh
purva mein samaya
mitti ke ghaDe ka aath das ghoont pani
jaise jivan sa milta hai deh ko
purva milta hai hontho se
jaise mati milti hai mati se
purani naad ka chhota pratirup
ye purva
suDaul
apni hi tarah ka khaas
plastik ki ati ke samay mein
purane jivan ka vinamr yoddha
khaDa hai uske samne
bina sakuchaye
shayad lalkarta sa – ‘tum
khud ke hi jivan ko sankat mein Dalne vali
lolup sabhyata ki nai khoj
aur hum sabse purane sathi manushya ke
tum bane rahoge dharti par
manushyon ke jivan par
sankat ki tarah
ek hum hain hamein dekho
phenke bhi ge to mil jayenge usi mati mein jahan se upje
purva ko haath mein lete
meri akhon mein tairti hain
bachpan mein gaanv mein bitayi garmiyan
aur ve anthak utsaah se bhari dopahren
ek bagiche se dusre bagiche
ek ghar se dusre ghar ke beech
dauDte bhagte hamare pair
aur is bhagambhag mein sukhte hamare kanthon mein aaya
mitti ke chhote zamin mein thoDe dhanse
ghailon ke pani ki wo thanDak
aur wo svaad
mere honthon se lagte hi ye purva
kholta hai ek darvaza
purkhon ki duniya ka
theth hindustani garmi si garmi hai ye
hava tapti hi jati hai is dopahar
jalati hai tvacha ko
chhaya ka tukDa
kisi bilkul apne ki tarah tan jata hai sar par
aur lu se jalti deh hi nahin
aatma bhi sukun se khol deti hai apne bandh
purva mein samaya
mitti ke ghaDe ka aath das ghoont pani
jaise jivan sa milta hai deh ko
purva milta hai hontho se
jaise mati milti hai mati se
purani naad ka chhota pratirup
ye purva
suDaul
apni hi tarah ka khaas
plastik ki ati ke samay mein
purane jivan ka vinamr yoddha
khaDa hai uske samne
bina sakuchaye
shayad lalkarta sa – ‘tum
khud ke hi jivan ko sankat mein Dalne vali
lolup sabhyata ki nai khoj
aur hum sabse purane sathi manushya ke
tum bane rahoge dharti par
manushyon ke jivan par
sankat ki tarah
ek hum hain hamein dekho
phenke bhi ge to mil jayenge usi mati mein jahan se upje
purva ko haath mein lete
meri akhon mein tairti hain
bachpan mein gaanv mein bitayi garmiyan
aur ve anthak utsaah se bhari dopahren
ek bagiche se dusre bagiche
ek ghar se dusre ghar ke beech
dauDte bhagte hamare pair
aur is bhagambhag mein sukhte hamare kanthon mein aaya
mitti ke chhote zamin mein thoDe dhanse
ghailon ke pani ki wo thanDak
aur wo svaad
mere honthon se lagte hi ye purva
kholta hai ek darvaza
purkhon ki duniya ka
स्रोत :
रचनाकार : आशीष त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.