इन शब्द-समूहों में
खोज लेना कभी अपना नाम
नियम, मर्यादा, सीमाओं से परे
विभेद कठोर पाषाण शिला पर
लिख रही हूँ महाकाव्य
जिसे तुम्हारी उपस्थिति से
संपूर्ण होना है
निश्चित तौर पर
किसी दूरंदेशी भविष्य में
बिछोह के लिए किसी दूसरे का होना
कहाँ आवश्यक है
मन बिछड़ जाता है ख़ुद से ही
और फिर एकांत में ही तो चमकते हैं
मन के सच्चे रत्न
और अंतस रहता है
ख़ाली कई-कई दिन
तुम बन बैठे हो
किसी दुर्गम व्योमगंगा के हिमखंड
और मैं नहीं जानती
कब अपनी दारुण जड़ता को तोड़
उतरोगे इस धरा पर
लेकिन इतना भी विलंब न कर देना कि
मैं प्यास का अर्थ ही भूल जाऊँ
in shabdasmuhon mein
khoj lena kabhi apna naam
niyam, maryada,simaon se pare
vibhed kathor pashan shila par
likh rahi hoon mahakavya
jise tumhari upasthiti se
sampurn hona hai
nishchit taur par
kisi durandeshi bhavishya men
bichhoh ke liye kisi dusre ka hona
kahan avashyak hai
man bichhaD jata hai khu se hi
aur phir ekaant mein hi to chamakte hain
man ke sachche ratn
aur antas rahta hai khali kai kai din
tum ban baithe ho
kisi durgam vyomganga ke himkhanD
aur main nahin janti
kab apni darun jaDta ko toD
utroge is dhara par
lekin itna bhi vilamb na kar dena ki
main pyaas ka arth hi bhool jaun
in shabdasmuhon mein
khoj lena kabhi apna naam
niyam, maryada,simaon se pare
vibhed kathor pashan shila par
likh rahi hoon mahakavya
jise tumhari upasthiti se
sampurn hona hai
nishchit taur par
kisi durandeshi bhavishya men
bichhoh ke liye kisi dusre ka hona
kahan avashyak hai
man bichhaD jata hai khu se hi
aur phir ekaant mein hi to chamakte hain
man ke sachche ratn
aur antas rahta hai khali kai kai din
tum ban baithe ho
kisi durgam vyomganga ke himkhanD
aur main nahin janti
kab apni darun jaDta ko toD
utroge is dhara par
lekin itna bhi vilamb na kar dena ki
main pyaas ka arth hi bhool jaun
स्रोत :
रचनाकार : अनुजीत इक़बाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.