ज़िंदगी नहीं है कोई
काता गया बारीक सूत बिना गाँठ का
और नहीं है
नीलाकाश में बेकार की मनभावन उड़ान
ज़िंदगी ऊँट के कोहान पर
लदा हुआ बोझा है
जो कस कर बँधा है
और दो हिस्सों में बँटा है
इस पहेली ने
बड़े-बड़े अक़्लमंदों को
युगों से झकझोरा है
जो पीठ पर सवार हैं
वे इस पर ध्यान दें
जो कुछ मैं कहता हूँ
दिन जो गुज़र गए
वे एक ओर बँधे हैं
और जो आएँगे
वे दूसरी ओर लटके हैं
वर्तमान कहीं नहीं है दोनों में
एक ओर भार बढ़ता
तो दूसरी ओर घटता है
ऐसे में संतुलन बनाए रखना
बहुत कठिन होता है
इसलिए शुरू में
और आख़िर में
ध्यान रखो इसका
वर्तमान क्षणिक है तुम मानो-न-मानो
कोई भी पैमाना
इसे मापने में असमर्थ है
यही वस्तु-सत्य है
तुम्हीं वर्तमान हो
सिर्फ़ तुम और कोई नहीं
निश्चय ही जान लो
तुम्हीं हो पीठ पर सवार
तुम्हीं हाँकते हो ऊँट को।
zindagi nahin hai koi
kata gaya barik soot bina gaanth ka
aur nahin hai
nilakash mein bekar ki manbhavan uDaan
zindagi uunt ke kohan par
lada hua bojha hai
jo kas kar bandha hai
aur do hisson mein banta hai
is paheli ne
baDe baDe aqlmandon ko
yugon se jhakjhora hai
jo peeth par savar hain
ve is par dhyaan den
jo kuch main kahta hoon
din jo guzar ge
ve ek or bandhe hain
aur jo ayenge
ve dusri or latke hain
vartaman kahin nahin hai donon men
ek or bhaar baDhta
to dusri or ghatta hai
aise mein santulan banaye rakhna
bahut kathin hota hai
isliye shuru men
aur akhir men
dhyaan rakho iska
vartaman kshnik hai tum mano na mano
koi bhi paimana
ise mapne mein asmarth hai
yahi vastu satya hai
tumhin vartaman ho
sirf tum aur koi nahin
nishchay hi jaan lo
tumhin ho peeth par savar
tumhin hankte ho uunt ko
zindagi nahin hai koi
kata gaya barik soot bina gaanth ka
aur nahin hai
nilakash mein bekar ki manbhavan uDaan
zindagi uunt ke kohan par
lada hua bojha hai
jo kas kar bandha hai
aur do hisson mein banta hai
is paheli ne
baDe baDe aqlmandon ko
yugon se jhakjhora hai
jo peeth par savar hain
ve is par dhyaan den
jo kuch main kahta hoon
din jo guzar ge
ve ek or bandhe hain
aur jo ayenge
ve dusri or latke hain
vartaman kahin nahin hai donon men
ek or bhaar baDhta
to dusri or ghatta hai
aise mein santulan banaye rakhna
bahut kathin hota hai
isliye shuru men
aur akhir men
dhyaan rakho iska
vartaman kshnik hai tum mano na mano
koi bhi paimana
ise mapne mein asmarth hai
yahi vastu satya hai
tumhin vartaman ho
sirf tum aur koi nahin
nishchay hi jaan lo
tumhin ho peeth par savar
tumhin hankte ho uunt ko
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 151)
रचनाकार : ग़फ़ूर ग़ुलाम
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.