पावस की एक शाम
काव्य सांध्य का मौसम
प्रेरित हो अनगिन भावों से
जाग उठा मेरा सृजन मन।
हृदय सिंधु में उमड़ पड़ा
चिंतन का फेनिल ज्वार
बृद्धि सूर्य से ताप ग्रहण कर
बना अनुभूतियों का वाष्प सघन।
बादलों सा उमर-घुमर कर
विचार वायु का सह पाकर
भावों का घना मेघ
कर दिया क्षण में
मन-आकाश आच्छन्न।
फिर शुरू हुआ
नाद-ध्वनि का आलोड़न
बादलों के मध्य
ज्यों विपुल मेंघ गर्जन।
रुक-रुक दमकता बिम्ब-दामिनी
पल-पल उदित काव्य महीषी
चेतना के भाव भूमि पर बरस पड़ा
तत्क्षण शब्द कण नूतन
आरम्भ हुआ कृति कर्म
समाहित एक बूंद में
असंख्य भाव उद्बोधन।
सोंधी सुगंध के संग
अह्लादित मन मयूर नर्तन।
मेघ छटा
इंद्र धनूषी भाव समेंटे
काव्य कुसुम आवर्तन
ऐसे ही पावस संध्या की
काव्य वृष्टि से भींगा-भींगा
कवि जीवन।
pavas ki ek shaam
kavya sandhya ka mausam
prerit ho angin bhavon se
jaag utha mera srijan man.
hriday sindhu mein umaD paDa
chintan ka phenil jvaar
briddhi surya se taap grhan kar
bana anubhutiyon ka vaashp saghan.
badlon sa umar ghumar kar
vichar vayu ka sah pakar
bhavon ka ghana megh
kar diya kshan men
man akash achchhann.
phir shuru hua
naad dhvani ka aloDan
badlon ke madhya
jyon vipul mengh garjan.
ruk ruk damakta bimb damini
pal pal udit kavya mahishi
chetna ke bhaav bhumi par baras paDa
tatkshan shabd kan nutan
arambh hua kriti karm
samahit ek boond men
asankhya bhaav udbodhan.
sondhi sugandh ke sang
ahladit man mayur nartan.
megh chhata
indr dhanushi bhaav samente
kavya kusum avartan
aise hi pavas sandhya ki
kavya vrishti se bhinga bhinga
kavi jivan.
pavas ki ek shaam
kavya sandhya ka mausam
prerit ho angin bhavon se
jaag utha mera srijan man.
hriday sindhu mein umaD paDa
chintan ka phenil jvaar
briddhi surya se taap grhan kar
bana anubhutiyon ka vaashp saghan.
badlon sa umar ghumar kar
vichar vayu ka sah pakar
bhavon ka ghana megh
kar diya kshan men
man akash achchhann.
phir shuru hua
naad dhvani ka aloDan
badlon ke madhya
jyon vipul mengh garjan.
ruk ruk damakta bimb damini
pal pal udit kavya mahishi
chetna ke bhaav bhumi par baras paDa
tatkshan shabd kan nutan
arambh hua kriti karm
samahit ek boond men
asankhya bhaav udbodhan.
sondhi sugandh ke sang
ahladit man mayur nartan.
megh chhata
indr dhanushi bhaav samente
kavya kusum avartan
aise hi pavas sandhya ki
kavya vrishti se bhinga bhinga
kavi jivan.
स्रोत :
रचनाकार : कलानाथ मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.