कभी-कभी जाने-अनजाने
दुखा ही देता हूँ
उनके भी दिल
जिनके भीतर हिलती ही रहती है
मेरे वजूद की लौ
जिनकी नसों में एक नस
मेरी भी फड़कती है
जिनकी देह में एक दिल
मेरा भी धड़कता है
कभी-कभी लगता है
कितना आसान है
दुख में कविता लिखना
उससे भी आसान है
दुनिया को दुखी दिखना
लेकिन बहुत मुश्किल है
किसी के दुख का कारण न बनना
यह जानते हुए भी कि
दुख की फ़सलों में
कई-कई आँख का पानी लगता है
चाहे-अनचाहे
समय-कुसमय लग ही जाती है
कोई कही हुई बात
फूलता है किसी का दुख
लगता है किसी आँख का पानी
पछतावा सप्तपर्णी की गंध की तरह
पीछा करता है
कई-कई रात।
kabhi kabhi jane anjane
dukha hi deta hoon
unke bhi dil
jinke bhitar hilti hi rahti hai
mere vajud ki lau
jinki nason mein ek nas
meri bhi phaDakti hai
jinki deh mein ek dil
mera bhi dhaDakta hai
kabhi kabhi lagta hai
kitna asan hai
dukh mein kavita likhna
usse bhi asan hai
duniya ko dukhi dikhna
lekin bahut mushkil hai
kisi ke dukh ka karan na banna
ye jante hue bhi ki
dukh ki faslon men
kai kai ankh ka pani lagta hai
chahe anchahe
samay kusmay lag hi jati hai
koi kahi hui baat
phulta hai kisi ka dukh
lagta hai kisi ankh ka pani
pachhtava saptparni ki gandh ki tarah
pichha karta hai
kai kai raat.
kabhi kabhi jane anjane
dukha hi deta hoon
unke bhi dil
jinke bhitar hilti hi rahti hai
mere vajud ki lau
jinki nason mein ek nas
meri bhi phaDakti hai
jinki deh mein ek dil
mera bhi dhaDakta hai
kabhi kabhi lagta hai
kitna asan hai
dukh mein kavita likhna
usse bhi asan hai
duniya ko dukhi dikhna
lekin bahut mushkil hai
kisi ke dukh ka karan na banna
ye jante hue bhi ki
dukh ki faslon men
kai kai ankh ka pani lagta hai
chahe anchahe
samay kusmay lag hi jati hai
koi kahi hui baat
phulta hai kisi ka dukh
lagta hai kisi ankh ka pani
pachhtava saptparni ki gandh ki tarah
pichha karta hai
kai kai raat.
स्रोत :
रचनाकार : शिवम चौबे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.