नदी ने
मुझसे
कुछ कहा
उसकी तरंगें
शब्द हैं
दोनों किनारे
कर्त्ता औ’ कर्म हैं
प्रवाह
क्रिया है
मीन
अर्थ है
रेत
ध्वनि है
फिर भी नदी ने मुझसे क्या कहा?
यही कि भूत, भविष्यत्
औ' वर्तमान को वह जानती है
मैं नदी के भीतर की नदी हूँ
बातों के भीतर की बात हूँ
गीतों के भीतर का गीत है
नदी ने मुझसे अपनी व्यथा का बयान किया
नगर में नदी की बात
बड़ी विचित्र होती है
नगर नदी से लड़ता है
नदी के उदर में कटार भोंकता है
नदी नगर को काटती है
नौ दो ग्यारह हो जाती है
नदी और नगर के बीच
मैं पिसता जा रहा हूँ
नगर मुझसे कुछ कहता नहीं
वह मुझसे झगड़ता भी नहीं
नदी मुझे व्यथित करती है
मेरे हृदय के शोध में रत है
कभी-कभी रो पड़ती है
मुझे नदी अधिक प्रिय है
यौवन के आवेग से
आलोड़-विलोड़ करने वाली
प्रौढ़ा के समान
गहन आलिंगन में बँध जाती है नदी
नदी से रहित ग्राम
कोठरी से रहित धाम
झाड़ियों से रहित दाव
हृदय से रहित मानव
किसे चाहिए!
nadi ne
mujhse
kuch kaha
uski tarangen
shabd hai
donon kinare
kartta au’ karm hain
prawah
kiya hai
meen
arth hai
ret
dhwani hai
phir bhi nadi ne mujhse kya kaha?
yahi ki bhoot, bhawishyat
au wartaman ko wo janti hai
main nadi ke bhitar ki nadi hoon
baton ke bhitar ki baat hoon
giton ke bhitar ka geet hai
nadi ne mujhse apni wyatha ka byan kiya
nagar mein nadi ki baat
baDi wichitr hoti hai
nagar nadi se laDta hai
nadi ke udar mein katar bhonkta hai
nadi nagar ko katti hai
nau do gyarah ho jati hai
nadi aur nagar ke beech
main pista ja raha hoon
nagar mujhse kuch kahta nahin
wo mujhse jhagaDta bhi nahin
nadi mujhe wyathit karti hai
mere hirdai ke shodh mein rat hai
kabhi kabhi ro paDti hai
mujhe nadi adhik priy hai
yauwan ke aaweg se
aloD wiloD karne wali
proDha ke saman
gahan alingan mein bandh jati hai nadi
nadi se rahit gram
kothari se rahit dham
jhaDiyon se rahit daw
hirdai se rahit manaw
kise chahiye!
nadi ne
mujhse
kuch kaha
uski tarangen
shabd hai
donon kinare
kartta au’ karm hain
prawah
kiya hai
meen
arth hai
ret
dhwani hai
phir bhi nadi ne mujhse kya kaha?
yahi ki bhoot, bhawishyat
au wartaman ko wo janti hai
main nadi ke bhitar ki nadi hoon
baton ke bhitar ki baat hoon
giton ke bhitar ka geet hai
nadi ne mujhse apni wyatha ka byan kiya
nagar mein nadi ki baat
baDi wichitr hoti hai
nagar nadi se laDta hai
nadi ke udar mein katar bhonkta hai
nadi nagar ko katti hai
nau do gyarah ho jati hai
nadi aur nagar ke beech
main pista ja raha hoon
nagar mujhse kuch kahta nahin
wo mujhse jhagaDta bhi nahin
nadi mujhe wyathit karti hai
mere hirdai ke shodh mein rat hai
kabhi kabhi ro paDti hai
mujhe nadi adhik priy hai
yauwan ke aaweg se
aloD wiloD karne wali
proDha ke saman
gahan alingan mein bandh jati hai nadi
nadi se rahit gram
kothari se rahit dham
jhaDiyon se rahit daw
hirdai se rahit manaw
kise chahiye!
स्रोत :
पुस्तक : शब्द से शताब्दी तक (पृष्ठ 130)
संपादक : माधवराव
रचनाकार : दाशरथि
प्रकाशन : आंध्र प्रदेश हिंदी अकादमी
संस्करण : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.