रे व्यर्थ ज्ञान पाखँड में पर
त्यागते तुम मोह को
रे मोह का बंधन मधुर
मोह का स्वरूप सुंदर
मोह का मुस्कान कोमल
मोह का परिधान मनोहर
रे मोह का आनंद विरल
मोह जनित वेदना शीतल
रे व्यर्थ...
मोह वह धूरी कि जिसपर
नाचते हैं राग-द्वेष सब
मोह वह आबृत कि जिस पर
घूमता संबंध परस्पर
मोह वह चुम्बक कि जो खींचता
बर्बस हृदय का डोर धर
रे व्यर्थ...
रे मोह से ही संचालित सभी
सृष्टि का सृजन व्यापार है
मोह ही तो काटता
विरक्ति का हर तार है
मोह से है त्याग, मोह ही करुणा
मोह ही मातृत्व, मोह ही परिवार
रे व्यर्थ...
रे देख, झॉक इतिहास-पुराण में
है कौन ऐसा शूर-वीर
बचकर निकल पाया अविचलित
विधि रचित इस मोह पाश से
रे पूछ अपने पूर्वजों से
झॉक अतीत की गहराइयों में
रे पूछ द्रोण, अर्जुन, भीमवीर से,
यदि कह सकें सब पारदर्शिता
बाँध अपने मोह पाश में
कर दिया था मोह क्षणभर
निरस्त,निरुत्तर किस तरह
विरक्ति के उन शूर को
रे व्यर्थ ज्ञान...
यदि शक्ति हो तुझमें ओ मानव
स्वीकार कर इस तथ्य को
न व्यर्थ कर अभिमान अपने
छद्म नीति ओ बुद्धि पर
विरक्ति है कृतृम, मोह है प्रकृति
विरक्ति है पलायन, मेह है संघर्ष
विरक्ति है पराजय, मोह है उत्कर्ष
re vyarth gyaan pakhanD mein par
tyagte tum moh ko
re moh ka bandhan madhur
moh ka svarup sundar
moh ka muskan komal
moh ka paridhan manohar
re moh ka anand viral
moh janit vedna shital
re vyarth. . .
moh wo dhuri ki jispar
nachte hain raag dvesh sab
moh wo abrit ki jis par
ghumta sambandh paraspar
moh wo chumbak ki jo khinchta
barbas hriday ka Dor dhar
re vyarth. . .
re moh se hi sanchalit sabhi
srishti ka srijan vyapar hai
moh hi to katta
virakti ka har taar hai
moh se hai tyaag, moh hi karuna
moh hi matritv, moh hi parivar
re vyarth. . .
re dekh, jhauk itihas puran men
hai kaun aisa shoor veer
bachkar nikal paya avichlit
vidhi rachit is moh paash se
re poochh apne purvjon se
jhauk atit ki gahraiyon men
re poochh dron, arjun, bhimvir se,
yadi kah saken sab paradarshita
baandh apne moh paash mein
kar diya tha moh kshanbhar
nirast,niruttar kis tarah
virakti ke un shoor ko
re vyarth gyaan. . .
yadi shakti ho tujhmen o manav
svikar kar is tathya ko
na vyarth kar abhiman apne
chhadm niti o buddhi par
virakti hai kritrim, moh hai prkriti
virakti hai palayan, meh hai sangharsh
virakti hai parajay, moh hai utkarsh
re vyarth gyaan pakhanD mein par
tyagte tum moh ko
re moh ka bandhan madhur
moh ka svarup sundar
moh ka muskan komal
moh ka paridhan manohar
re moh ka anand viral
moh janit vedna shital
re vyarth. . .
moh wo dhuri ki jispar
nachte hain raag dvesh sab
moh wo abrit ki jis par
ghumta sambandh paraspar
moh wo chumbak ki jo khinchta
barbas hriday ka Dor dhar
re vyarth. . .
re moh se hi sanchalit sabhi
srishti ka srijan vyapar hai
moh hi to katta
virakti ka har taar hai
moh se hai tyaag, moh hi karuna
moh hi matritv, moh hi parivar
re vyarth. . .
re dekh, jhauk itihas puran men
hai kaun aisa shoor veer
bachkar nikal paya avichlit
vidhi rachit is moh paash se
re poochh apne purvjon se
jhauk atit ki gahraiyon men
re poochh dron, arjun, bhimvir se,
yadi kah saken sab paradarshita
baandh apne moh paash mein
kar diya tha moh kshanbhar
nirast,niruttar kis tarah
virakti ke un shoor ko
re vyarth gyaan. . .
yadi shakti ho tujhmen o manav
svikar kar is tathya ko
na vyarth kar abhiman apne
chhadm niti o buddhi par
virakti hai kritrim, moh hai prkriti
virakti hai palayan, meh hai sangharsh
virakti hai parajay, moh hai utkarsh
स्रोत :
रचनाकार : कलानाथ मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.