शरीर जड है उसे चिदात्मा स्वयं सचेतन बना रहा है।
चित्सत्ता का अविरत स्पंदन तन को चेतन बना रहा है॥
तन भी जड है मन भी जड है, मन-तन से भी सूक्ष्म विमल है।
मन गंगा के कल-कल जल-सा तरल सजल चंचल निर्मल है।
प्रभु निज छाया बिंबित करने मन को दर्पण बना रहा है।
चित्सत्ता का अविरत स्पंदन तन को चेतन बना रहा है॥
प्राण प्रतिष्ठा कर इस तन में शव को शिव में बदल दिया है।
चलने-फिरने खाने पीने जीने का बल प्रबल दिया है।
इस विधवा काया की भरकर माँग सुहागन बना रहा है।
चित्सत्ता का अविरत स्पंदन तन को चेतन बना रहा है॥
रथी वही इस तन रथ का वह इंद्रिय हय दल हाँक रहा है।
बैठ चक्षुछिद्रों के पीछे वही आँख से झाँक रहा है।
दीन 'ज्ञान' को सच्चित्सुख प्रभु ब्रह्म सनातन बना रहा है।
चित्सत्ता का अविरत स्पंदन तन को चेतन बना रहा है॥
sharir jaD hai use chidatma svayan sachetan bana raha hai.
chitsatta ka avirat spandan tan ko chetan bana raha hai॥
tan bhi jaD hai man bhi jaD hai, man tan se bhi sookshm vimal hai.
man ganga ke kal kal jal sa taral sajal chanchal nirmal hai.
prabhu nij chhaya bimbit karne man ko darpan bana raha hai.

praan pratishtha kar is tan mein shav ko shiv mein badal diya hai.
chalne phirne khane pine jine ka bal prabal diya hai.
is vidhva kaya ki bharkar maang suhagan bana raha hai.

rathi vahi is tan rath ka wo indriy hay dal haank raha hai.
baith chakshuchhidron ke pichhe vahi ankh se jhaank raha hai.
deen gyaan ko sachchitsukh prabhu brahm sanatan bana raha hai.

स्रोत :
रचनाकार : ज्ञानराज माणिकप्रभु
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.