मौत आएगी और नींद से उठा देगी।
दरवाज़े पर तीन बार दस्तक होगी,
और चौथी दस्तक पर अंकित होगी
सूरज के गंगा में डुबुक जाने की हल्की-सी आवाज़।
मौत पर्दे सिकोड़कर घुसेगी भीतर
बिना चप्पलें उतारे कमरे में टहलेगी
और तेज़ कर देगी पंखे की रफ़्तार।
मैं सिमट चुका होऊँगा
खिड़की की जाली से बहती रोशनी की सिलवटों में
और नहीं हटाऊँगा अपने चेहरे से कंबल।
मौत मेरे नंगे पाँवों के तलवे गुदगुदाएगी
और मेरी रोती बिल्ली को गोद में उठा लेगी।
मैं चीख़कर उठूँगा
किसी भयानक सपने से जागने की भाँति पाऊँगा
एक सुनसान कमरे में धूल का अबूझ ग़ुबार
अलमारी की सबसे ऊँची तल्ली पर सोती हुई बिल्ली
पंखे से छिटकते रोशनी के छींटे
और अपने मुँह पर किसी का हाथ।
मौत जाएगी अकेले और मैं दरवाज़े की ओर
खुली आँखों से ताकता रह जाऊँगा
क्योंकि अगर मैं सोया
तो मौत फिर आएगी
बिना चप्पलें उतारे
तीन दस्तकों के पार से
पंखे पर आँखें गड़ाए
और नींद से उठा देगी।
maut ayegi aur neend se utha degi.
darvaze par teen baar dastak hogi,
aur chauthi dastak par ankit hogi
suraj ke ganga mein Dubuk jane ki halki si avaz.
maut parde sikoDkar ghusegi bhitar
bina chapplen utare kamre mein tahlegi
aur tez kar degi pankhe ki raftar.
main simat chuka hounga
khiDki ki jali se bahti roshni ki silavton mein
aur nahin hataunga apne chehre se kambal.
maut mere nange panvon ke talve gudagudayegi
aur meri roti billi ko god mein utha legi.
main chikhkar uthunga
kisi bhayanak sapne se jagne ki bhanti paunga
ek sunsan kamre mein dhool ka abujh ghubar
almari ki sabse uunchi talli par soti hui billi
pankhe se chhitakte roshni ke chhinte
aur apne munh par kisi ka haath.
maut jayegi akele aur main darvaze ki or
khuli ankhon se takta rah jaunga
kyonki agar main soya
to maut phir ayegi
bina chapplen utare
teen dastkon ke paar se
pankhe par ankhen gaDaye
aur neend se utha degi.
maut ayegi aur neend se utha degi.
darvaze par teen baar dastak hogi,
aur chauthi dastak par ankit hogi
suraj ke ganga mein Dubuk jane ki halki si avaz.
maut parde sikoDkar ghusegi bhitar
bina chapplen utare kamre mein tahlegi
aur tez kar degi pankhe ki raftar.
main simat chuka hounga
khiDki ki jali se bahti roshni ki silavton mein
aur nahin hataunga apne chehre se kambal.
maut mere nange panvon ke talve gudagudayegi
aur meri roti billi ko god mein utha legi.
main chikhkar uthunga
kisi bhayanak sapne se jagne ki bhanti paunga
ek sunsan kamre mein dhool ka abujh ghubar
almari ki sabse uunchi talli par soti hui billi
pankhe se chhitakte roshni ke chhinte
aur apne munh par kisi ka haath.
maut jayegi akele aur main darvaze ki or
khuli ankhon se takta rah jaunga
kyonki agar main soya
to maut phir ayegi
bina chapplen utare
teen dastkon ke paar se
pankhe par ankhen gaDaye
aur neend se utha degi.
स्रोत :
रचनाकार : शाम्भवी तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.