इतवार कब फिसल गया पता ही नहीं चला
थक कर लौटती हो तुम
टूट कर गिरा रहता हूँ मैं
कभी प्याली तुम पकड़ाती हो
कभी चाय मैं बनाता हूँ
हम दोनों मिलकर भी कई बार नहीं बना पाते रात का खाना
जाले कौन हटाए यह एक और उलझा हुआ सवाल है
गमले का पौधा पहले मुरझाया फिर रविवार आने से पहले ही
गिर कर सूख गया
उसका शव मिट्टी बना
इस मिट्टी में रोपना है फूल
करता हूँ इंतज़ार फिर किसी छुट्टी का
सूरज को देखे बरसों बीत गए
चाँद दिखता है धुँधला
किसी दिन जब हम ऑफ़िस जाने की जल्दी में थे
खिड़की से गौरैया ने खटखटा कर दी थी आवाज़
हड़बड़ी में हम छोड़ आए चलता पंखा
शाम उसके पंख बिखरे मिले घर में ख़ून से लथपथ
अब हमारी खिड़की बंद रहती है
वसंत
पहियों से घिसटता हुआ आता है हमारे शहर में
तुम्हारी ख़ुशबू में लिपटा चला आता है धुआँ
मेरे कपड़ों से रेत की तरह गिरते हैं
मेरे छोटे-बड़े समझौते
तुम्हारी लिपस्टिक से उतरती हैं दिन भर की फीकी मुस्कुराहटें
तुम्हारा मोबाइल तुम्हारी हँसी को बदल देता है
यस सर में
मेरा लैपटॉप खींच ले जाता है मुझे तुमसे दूर
अपनी ऑफ़िस टेबल पर
अगले दिन शाम ढले फिर तुम झुकी हुई आती हो
रात गए मैं बुझा-सा तुमसे मिलता हूँ
हमारे बीच
न स्नेहिल स्पर्श है, न कातर चुंबन, न आतुर रातें
शायद वीर्य और रज भी हमारी क़िस्तों के भेंट चढ़ गए
itwar kab phisal gaya pata hi nahin chala
thak kar lautti ho tum
toot kar gira rahta hoon main
kabhi pyali tum pakDati ho
kabhi chay main banata hoon
hum donon milkar bhi kai bar nahin bana pate raat ka khana
jale kaun hataye ye ek aur uljha hua sawal hai
gamle ka paudha pahle murjhaya phir rawiwar aane se pahle hi
gir kar sookh gaya
uska shau mitti bana
is mitti mein ropana hai phool
karta hoon intzar phir kisi chhutti ka
suraj ko dekhe barson beet gaye
chand dikhta hai dhundhla
kisi din jab hum office jane ki jaldi mein the
khiDki se gauraiya ne khatkhata kar di thi awaz
haDbaDi mein hum chhoD aaye chalta pankha
sham uske pankh bikhre mile ghar mein khoon se lathpath
ab hamari khiDki band rahti hai
wasant
pahiyon se ghisatta hua aata hai hamare shahr mein
tumhari khushbu mein lipta chala aata hai dhuan
mere kapDon se ret ki tarah girte hain
mere chhote baDe samjhaute
tumhari lipstick se utarti hain din bhar ki phiki muskurahten
tumhara mobile tumhari hansi ko badal deta hai
yas sar mein
mera laptop kheench le jata hai mujhe tumse door
apni office table par
agle din sham Dhale phir tum jhuki hui aati ho
raat gaye main bujha sa tumse milta hoon
hamare beech
na snehil sparsh hai, na katar chumban, na aatur raten
shayad weery aur raj bhi hamari qiston ke bhent chaDh gaye

स्रोत :
रचनाकार : अरुण देव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.