गाँव से आया हूँ बाबू, गाँव से
इसी गोपालपुर से सटे एक गाँव से
अभी कुछ ही देर में
अपनी-अपनी नौकाओं के साथ
मछुआरे आ जाएँगे समुद्र से बाहर
लाएँगे ढेर सारी
छोटी-बड़ी मछलियाँ
अपनी-अपनी टोकरियों में भरकर
फिर हम लौट जाएँगे अपने गाँव
टोकरियों में भरकर
समुद्र की अनंत लहरों के फूल
पाँवों में लेकर ढेर सारा नमक
आप लोग अपने साथ
उतार लीजिए हमारा भी फ़ोटो
हम लिखा रहे हैं अता-पता
डाक से भेज दीजिएगा फ़ोटो
आप लोगों की उन्मुक्त हँसी का
समुद्र की उन्मुक्तता से करते रहेंगे मिलान
सबेरे के नौ बज गए हैं
सूरज चढ़ आया है
लौट रहे हो गाँव
क्यों चक्कर काट रहे हो एक तस्वीर
उतरवाने को
क्यों आ रहे हो हमारे इतने पास
क्यों तुम लोग अचानक
देखिये बाबू, देखिए
सारे मछुआरे लौट आए हैं समुद्र से बाहर
अपनी-अपनी नौकाओं के साथ
खाली-खाली हाथ
आज एक भी मछली नहीं आई लहरों में
एक भी नहीं।
हाँ, बाबू, हाँ—
कभी-कभी मछलियाँ आती ही नहीं
लहरों के साथ
लगता है अपने बाल-बच्चों सहित
कभी-कभी मछलियाँ
मनाती हैं अवकाश!
समझ गए होंगे
हम सब आज क्यों हैं इतना उदास!
gaanv se aaya hoon babu, gaanv se
isi gopalpur se sate ek gaanv se
abhi kuch hi der men
apni apni naukaon ke saath
machhuare aa jayenge samudr se bahar
layenge Dher sari
chhoti baDi machhliyan
apni apni tokariyon mein bharkar
phir hum laut jayenge apne gaanv
tokariyon mein bharkar
samudr ki anant lahron ke phool
panvon mein lekar Dher sara namak
aap log apne saath
utaar lijiye hamara bhi foto
hum likha rahe hain ata pata
Daak se bhej dijiyega foto
aap logon ki unmukt hansi ka
samudr ki unmuktata se karte rahenge milan
sabere ke nau baj ge hain
suraj chaDh aaya hai
lahron par
ek baans uupar
laut rahe ho gaanv
kyon chakkar kaat rahe ho ek tasvir
utarvane ko
kyon aa rahe ho hamare itne paas
kyon tum log achanak
dekhiye babu, dekhiye
sare machhuare laut aaye hain samudr se bahar
apni apni naukaon ke saath
khali khali haath
aaj ek bhi machhli nahin aai lahron men
ek bhi nahin.
haan, babu, haan—
kabhi kabhi machhliyan aati hi nahin
lahron ke saath
lagta hai apne baal bachchon sahit
kabhi kabhi machhliyan
manati hain avkash!
samajh gaye honge
hum sab aaj kyon hain itna udaas!
gaanv se aaya hoon babu, gaanv se
isi gopalpur se sate ek gaanv se
abhi kuch hi der men
apni apni naukaon ke saath
machhuare aa jayenge samudr se bahar
layenge Dher sari
chhoti baDi machhliyan
apni apni tokariyon mein bharkar
phir hum laut jayenge apne gaanv
tokariyon mein bharkar
samudr ki anant lahron ke phool
panvon mein lekar Dher sara namak
aap log apne saath
utaar lijiye hamara bhi foto
hum likha rahe hain ata pata
Daak se bhej dijiyega foto
aap logon ki unmukt hansi ka
samudr ki unmuktata se karte rahenge milan
sabere ke nau baj ge hain
suraj chaDh aaya hai
lahron par
ek baans uupar
laut rahe ho gaanv
kyon chakkar kaat rahe ho ek tasvir
utarvane ko
kyon aa rahe ho hamare itne paas
kyon tum log achanak
dekhiye babu, dekhiye
sare machhuare laut aaye hain samudr se bahar
apni apni naukaon ke saath
khali khali haath
aaj ek bhi machhli nahin aai lahron men
ek bhi nahin.
haan, babu, haan—
kabhi kabhi machhliyan aati hi nahin
lahron ke saath
lagta hai apne baal bachchon sahit
kabhi kabhi machhliyan
manati hain avkash!
samajh gaye honge
hum sab aaj kyon hain itna udaas!
स्रोत :
रचनाकार : सुरेंद्र स्निग्ध
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.