“तुम नंगा सच लिखती हो”
सच होता ही है नंगा, बिल्कुल किसी नवजात की तरह
नंगा होता है सच!
वो तो कुछ आँखें ग़लीज़ होती हैं
जो उस मासूमियत में भी हवस खोज लेती हैं
वरना नग्नता से बड़ा सच क्या है?
कपड़े तो सामाजिक हैं, समाज पहनाता है
उतार भी देता है समय-असमय
कपड़े—सभ्य समाज की पहचान,
नग्नता को, सच को ढकने का उपाय
जाने कब अस्तित्व मिला होगा कपड़ों को
कि वो शर्म और सभ्यता का पर्याय बनें
जाने कौन सा आदम होगा जिसे ठंड से बचने के लिए
ओढ़े गए कपड़े को उतारने में शर्म आई होगी
जाने कब इस सभ्यता ने जन्म लिया होगा
जो अपने अस्तित्व की हक़ीक़त से शरमाई होगी
देखो, लोगों! स्वीकार करो!
ये कपड़े महज़ एक झूठ हैं, सभ्यता एक स्वाँग
समाज ताक में है कि कब तुम्हारे कपड़े उतार दे और शर्मिंदा करे तुम्हें
उससे पहले उतार फेंको ये सभ्यता का ढोंग
नग्नता का पर्याय देखो, सच देखो, नवजात को देखो
क्योंकि सच नंगा ही होता है।
“tum nanga sach likhti ho”
sach hota hi hai nanga, bilkul kisi navjat ki tarah
nanga hota hai sach!
wo to kuch ankhen ghaliz hoti hain
jo us masumiyat mein bhi havas khoj leti hain
varna nagnta se baDa sach kya hai?
kapDe to samajik hain, samaj pahnata hai
utaar bhi deta hai samay asamay
kapDe—sabhya samaj ki pahchan,
nagnta ko, sach ko Dhakne ka upaay
jane kab astitv mila hoga kapDon ko
ki wo sharm aur sabhyata ka paryay banen
jane kaun sa aadam hoga jise thanD se bachne ke liye
oDhe ge kapDe ko utarne mein sharm aai hogi
jane kab is sabhyata ne janm liya hoga
jo apne astitv ki haqiqat se sharmai hogi
dekho, logon! svikar karo!
ye kapDe mahz ek jhooth hain, sabhyata ek svaang
samaj taak mein hai ki kab tumhare kapDe utaar de aur sharminda kare tumhein
usse pahle utaar phenko ye sabhyata ka Dhong
nagnta ka paryay dekho, sach dekho, navjat ko dekho
kyonki sach nanga hi hota hai.

स्रोत :
रचनाकार : शिवांगी गोयल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.