मैं ग्रीष्म की तेजस्विता हूँ
और गुठली जैसा
छिपा शहद का ऊष्म ताप
मैं हूँ वसंत में सुखद अकेलापन
जेब में गहरी पड़ी मूँगफली को छाँटकर
चबाता फ़ुरसत से
मैं चेकदार कपड़े की क़मीज़ हूँ
उमड़ते हुए बादल जब रगड़ खाते हैं
तब मैं उनका मुखर ग़ुस्सा हूँ
इच्छाएँ आती हैं तरह-तरह के बाने धरे
उनके पास मेरी हर ज़रूरत दर्ज है
एक फ़ेहरिस्त में मेरी हर कमज़ोरी
उन्हें यह तक मालूम है
कि कब मैं चुप होकर गर्दन लटका लूँगा
मगर फिर भी मैं जाता रहूँगा ही
हर बार भाषा को रस्से की तरह थामे
साथियों के रास्ते पर
एक कवि और कर ही क्या सकता है
सही बने रहने की कोशिश के सिवा
main greeshm ki tejaswita hoon
aur guthli jaisa
chhipa shahd ka ushm tap
main hoon wasant mein sukhad akelapan
jeb mein gahri paDi mungaphali ko chhantakar
chabata fursat se
main chekdar kapDe ki qamiz hoon
umaDte hue badal jab ragaD khate hain
tab main unka mukhar ghussa hoon
ichhayen aati hain tarah tarah ke bane dhare
unke pas meri har zarurat darj hai
ek fehrist mein meri har kamzori
unhen ye tak malum hai
ki kab main chup hokar gardan latka lunga
magar phir bhi main jata rahunga hi
har bar bhasha ko rasse ki tarah thame
sathiyon ke raste par
ek kawi aur kar hi kya sakta hai
sahi bane rahne ki koshish ke siwa
main greeshm ki tejaswita hoon
aur guthli jaisa
chhipa shahd ka ushm tap
main hoon wasant mein sukhad akelapan
jeb mein gahri paDi mungaphali ko chhantakar
chabata fursat se
main chekdar kapDe ki qamiz hoon
umaDte hue badal jab ragaD khate hain
tab main unka mukhar ghussa hoon
ichhayen aati hain tarah tarah ke bane dhare
unke pas meri har zarurat darj hai
ek fehrist mein meri har kamzori
unhen ye tak malum hai
ki kab main chup hokar gardan latka lunga
magar phir bhi main jata rahunga hi
har bar bhasha ko rasse ki tarah thame
sathiyon ke raste par
ek kawi aur kar hi kya sakta hai
sahi bane rahne ki koshish ke siwa
स्रोत :
पुस्तक : कविता वीरेन (पृष्ठ 58)
रचनाकार : वीरेन डंगवाल
प्रकाशन : नवारुण
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.