मैं नहीं कल्पना मात्र कवि की
नहीं व्यंजना किसी निजी दुख की
नहीं दिवा स्वप्न किसी सुखकामी का
नहीं सुकमार भावना किसी प्रिय की।
मैं नहीं मात्र छंद-बंध का चमत्कार
मैं नहीं स्वछंद शब्द क्रीड़ा विकास
नहीं मनोरंजन किसी रति-कामी का
नहीं मात्र शृंगार अलंकारों का।
मैं शारदा की विरल वरदान प्रिय!
मैं दिव्य लोक से चलकर आई
नर-पषुओं को मनुष्यत्व सिखाने
मनुज संस्कृति की ज्योति जगाने।
मैं विद्युत कण सी छटा विखेरती
रक्त धमनि में स्पंदन भरती
मानवता के पूजा की प्रथम पुष्प
पथ भ्रमित को सतपथ दिखलाती।
मैं भाव तुणीर की बाण प्रिय
पाषाण हृदय को भेद अतल से
संवेदना की निर्झरणी बन आती
मैं घृणा द्वेष का भाव मिटाकर
स्नेह-प्रेम की फूल खिलाती॥
मैं विचार अनल की चिनगारी
हिम घनीभूत हृदय में कर प्रवेश
भावों की उज्वल ज्वाला फैलाती
निष्क्रिय विचारों को पिधलाकर
भाव, विवेक की ज्योति जगाती॥
main nahin kalpana maatr kavi ki,
nahin vyanjna kisi niji dukh ki,
nahin diva svapn kisi sukhkami ka,
nahin sukmar bhavna kisi priy ki.
main nahin maatr chhand bandh ka chamatkar,
main nahin svchhand shabd kriDa vikas,
nahin manoranjan kisi rati kami ka,
nahin maatr shringar alankaron ka.
main sharada ki viral vardan priy!
main divya lok se chalkar aai,
nar pashuon ko manushyatv sikhane,
manuj sanskriti ki jyoti jagane.
main vidyut kan si chhata vikherti
rakt dhamni mein spandan bharti
manavta ke puja ki pratham pushp
path bhramit ko satpath dikhlati.
main bhaav tunir ki baan priy
pashan hriday ko bhed atal se
sanvedna ki nirjharni ban aati
main ghrina dvesh ka bhaav mitakar
sneh prem ki phul khilati॥
main vichar anal ki chingari,
him ghanibhut hriday mein kar pravesh,
bhavon ki ujval jvala phailati
nishkriy vicharon ko pidhlakar,
bhaav, vivek ki jyoti jagati॥
main nahin kalpana maatr kavi ki,
nahin vyanjna kisi niji dukh ki,
nahin diva svapn kisi sukhkami ka,
nahin sukmar bhavna kisi priy ki.
main nahin maatr chhand bandh ka chamatkar,
main nahin svchhand shabd kriDa vikas,
nahin manoranjan kisi rati kami ka,
nahin maatr shringar alankaron ka.
main sharada ki viral vardan priy!
main divya lok se chalkar aai,
nar pashuon ko manushyatv sikhane,
manuj sanskriti ki jyoti jagane.
main vidyut kan si chhata vikherti
rakt dhamni mein spandan bharti
manavta ke puja ki pratham pushp
path bhramit ko satpath dikhlati.
main bhaav tunir ki baan priy
pashan hriday ko bhed atal se
sanvedna ki nirjharni ban aati
main ghrina dvesh ka bhaav mitakar
sneh prem ki phul khilati॥
main vichar anal ki chingari,
him ghanibhut hriday mein kar pravesh,
bhavon ki ujval jvala phailati
nishkriy vicharon ko pidhlakar,
bhaav, vivek ki jyoti jagati॥
स्रोत :
रचनाकार : कलानाथ मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.