कंप्यूटर की सपाट स्क्रीन के बजाए
काग़ज़ पर लिखना पसंद है मुझे
कि ज़िंदा रहते हैं वहाँ
सारे सबूत संघर्ष के
कैसे डूबते-डूबते उभरती है कविता
कैसे तमाम रास्तों को छोड़
ख़ास राह पकड़ती है कविता
बिना कुछ जाने
अनजान शब्दों की मंडली में
कैसे उतरती है कविता
कभी दर्द सुनाती
कभी दर्द छुपाती हुई
कविता का जीवन भी
आम लोगों का जीवन है
ठोकरों से बनता हुआ
और ये सब दर्ज़ रहता है काग़ज़ों में
सारे बदलावों सारे कट्टा-पिट्टाओं में
जैसे हँसी में चेहरे की
छुपी रहती हैं तिजोरियाँ
संघर्षों की
ऐसे रहती हैं दर्ज़
काग़ज़ों में 'सारी नाकामियाँ
कामयाब कविताओं की।
kampyutar ki sapat skreen ke bajaye
kaghaz par likhna pasand hai mujhe
ki zinda rahte hain vahan
sare sabut sangharsh ke
kaise Dubte Dubte ubharti hai kavita
kaise tamam raston ko chhoD
khaas raah pakaDti hai kavita
bina kuch jane
anjan shabdon ki manDli men
kaise utarti hai kavita
kabhi dard sunati
kabhi dard chhupati hui
kavita ka jivan bhi
aam logon ka jivan hai
thokron se banta hua
aur ye sab darz rahta hai kaghzon men
sare badlavon sare katta pittaon men
jaise hansi mein chehre ki
chhupi rahti hain tijoriyan
sangharshon ki
aise rahti hain darz
kaghzon mein sari nakamiyan
kamyab kavitaon ki.
kampyutar ki sapat skreen ke bajaye
kaghaz par likhna pasand hai mujhe
ki zinda rahte hain vahan
sare sabut sangharsh ke
kaise Dubte Dubte ubharti hai kavita
kaise tamam raston ko chhoD
khaas raah pakaDti hai kavita
bina kuch jane
anjan shabdon ki manDli men
kaise utarti hai kavita
kabhi dard sunati
kabhi dard chhupati hui
kavita ka jivan bhi
aam logon ka jivan hai
thokron se banta hua
aur ye sab darz rahta hai kaghzon men
sare badlavon sare katta pittaon men
jaise hansi mein chehre ki
chhupi rahti hain tijoriyan
sangharshon ki
aise rahti hain darz
kaghzon mein sari nakamiyan
kamyab kavitaon ki.
स्रोत :
रचनाकार : संजीव कौशल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.