पहाड़ियों की चोटी पर
ऊँचे, जंग से काले
तारों से कसे हुए
तार के खंभे
खड़े हैं,
रेल की खिड़की—
के शीशे गिरे हुए
उनके बीच से मैं देख रहा हूँ
ईसा को इन खंभों पर
कीलों से जड़ दिया गया है
उसकी दोनों बाहें फैली हैं।
हाथ और पाँव
से ख़ून बह रहा है
पर वह शांत है
स्वच्छ पारदर्शी जल की तरह
शांत!
तार
बिजली से भरे हुए तार
काँपते हैं
झनझनाते हैं
उनमें से शब्द दौड़ रहे हैं
इच्छाएँ आ जा रही हैं।
ईसा रक्त बहने से बेहोश हो रहा है
इनमें से कोई शब्द ऐसा नहीं
जो उसके काम का हो
इनमें से कोई संदेश
उसके पवित्र पिता प्रभु का संदेश नहीं।
एक अबाबील का छोटा बच्चा
जिसके पंखों में अब भी अंडे की
सफ़ेदी का स्वाद है
उसे चहक कर बता रहा है
प्रभु का संदेश
जीवन का मर्म
जो सारी दुनिया के तार बेतार अपनी समस्त
वैज्ञानिक संकेत ध्वनियों में नहीं बता पाएँगे
pahaDiyon ki choti par
uunche, jang se kale
taron se kase hue
taar ke khambhe
khaDe hain,
rel ki khiDki—
ke shishe gire hue
unke beech se main dekh raha hoon
iisa ko in khambhon par
kilon se jaD diya gaya hai
uski donon bahen phaili hain.
haath aur paanv
se khoon bah raha hai
par wo shaant hai
svachchh paradarshi jal ki tarah
shaant!
taar
bijli se bhare hue taar
kanpte hain
jhanajhnate hain
unmen se shabd dauD rahe hain
ichchhayen aa ja rahi hain.
iisa rakt bahne se behosh ho raha hai
inmen se koi shabd aisa nahin
jo uske kaam ka ho
inmen se koi sandesh
uske pavitra pita prabhu ka sandesh nahin.
ek ababil ka chhota bachcha
jiske pankhon mein ab bhi anDe ki
safedi ka svaad hai
use chahak kar bata raha hai
prabhu ka sandesh
jivan ka marm
jo sari duniya ke taar betar apni samast
vaigyanik sanket dhvaniyon mein nahin bata payenge
pahaDiyon ki choti par
uunche, jang se kale
taron se kase hue
taar ke khambhe
khaDe hain,
rel ki khiDki—
ke shishe gire hue
unke beech se main dekh raha hoon
iisa ko in khambhon par
kilon se jaD diya gaya hai
uski donon bahen phaili hain.
haath aur paanv
se khoon bah raha hai
par wo shaant hai
svachchh paradarshi jal ki tarah
shaant!
taar
bijli se bhare hue taar
kanpte hain
jhanajhnate hain
unmen se shabd dauD rahe hain
ichchhayen aa ja rahi hain.
iisa rakt bahne se behosh ho raha hai
inmen se koi shabd aisa nahin
jo uske kaam ka ho
inmen se koi sandesh
uske pavitra pita prabhu ka sandesh nahin.
ek ababil ka chhota bachcha
jiske pankhon mein ab bhi anDe ki
safedi ka svaad hai
use chahak kar bata raha hai
prabhu ka sandesh
jivan ka marm
jo sari duniya ke taar betar apni samast
vaigyanik sanket dhvaniyon mein nahin bata payenge
स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 285)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : एनरीक़ बुस्तमान्ते बैलीवियन
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.