सहजन की फलियाँ लेते आना
अगर तुम आओ
फूलों की सब्ज़ी से मेरा जी भर गया है
क़स्बे की हाट में मिलती हैं
गंदे नाले की भाजी
तुम मोरेल से लाना बिल्कुल ताज़ी
कानों में छेद न करना पड़े जिनके लिए
नाक में भी चुभे नहीं
ऐसी बालियाँ लेकर आना तुम
अगर गणगौर के मेले जाओ
कितने कम रहते हो तुम मेरे पास
नहीं तो मँगाती ही रहूँ
कुछ न कुछ रोज़ मैं तुमसे
पीली लूगड़ी ज़रूर ले आना इस बार
जिसमें अच्छे क़सीदे हो
आखातीज पर भाई का ब्याव है
मेरी सहेलियाँ तुमको उलाहना देगी
क्यों नहीं तुम लूगड़ी के फूल हो जाते
मैं तुमको ही माथे पर ओढ़ लेती
इन दिनों रोज़ दिन-रात
मैं इसी चिंता में रहती हूँ
जब तुम परदेश चले जाओगे
तब मेरे लिए अमरूद कौन लाएगा
sahjan ki phaliyan lete aana
agar tum aao
phulon ki sabji se mera ji bhar gaya hai
kasbe ki haat mein milti hain
gande nale ki bhaji
tum morel se lana bilkul tazi
kanon mein chhed na karna paDe jinke liye
naak mein bhi chubhe nahin
aisi baliyan lekar aana tum
agar gangaur ke mele jao
kitne kam rahte ho tum mere paas
nahin to mangati hi rahun
kuch na kuch roz main tumse
pili lugDi zarur le aana is baar
jismen achchhe kaside ho
akhatij par bhai ka byaav hai
meri saheliyan tumko ulahna degi
kyon nahin tum lugDi ke phool ho jate
main tumko hi mathe par oDh leti
in dinon roz din raat
main isi chinta mein rahti hoon
jab tum pardesh chale jaoge
tab mere liye amrud kaun layega
sahjan ki phaliyan lete aana
agar tum aao
phulon ki sabji se mera ji bhar gaya hai
kasbe ki haat mein milti hain
gande nale ki bhaji
tum morel se lana bilkul tazi
kanon mein chhed na karna paDe jinke liye
naak mein bhi chubhe nahin
aisi baliyan lekar aana tum
agar gangaur ke mele jao
kitne kam rahte ho tum mere paas
nahin to mangati hi rahun
kuch na kuch roz main tumse
pili lugDi zarur le aana is baar
jismen achchhe kaside ho
akhatij par bhai ka byaav hai
meri saheliyan tumko ulahna degi
kyon nahin tum lugDi ke phool ho jate
main tumko hi mathe par oDh leti
in dinon roz din raat
main isi chinta mein rahti hoon
jab tum pardesh chale jaoge
tab mere liye amrud kaun layega
स्रोत :
रचनाकार : विजय राही
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.