इतवार। जैकेटों के बटन बिखरी हुई
हँसी की तरह दमकते हैं। बस जा चुकी है।
कुछ सुखद आवाज़ें—अजीब बात है
कि तुम उन्हें सुन सकते हो और जवाब में कुछ कह सकते हो।
चीड़ के झुरमुट के नीचे एक मज़दूर
बाँसुरी बजाना सीख रहा है। एक औरत ने
किसी को नमस्ते की—इतनी सरल
और स्वाभाविक नमस्ते
कि तुम्हारा भी मन हो चीड़ के पेड़ों के नीचे
बाँसुरी बजाना सीखने का।
कोई भाग देना या घटाना नहीं। बस अपने से बाहर
देखने में समर्थ होना—ऊष्मा और शांति।
सिर्फ़ तुम नहीं बल्कि तुम भी होना।
थोड़ा-सा जोड़ना, थोड़ा-सा व्यावहारिक गणित, इतनी
आसानी से समझ में आने लायक़
कि उसे कोई बच्चा भी कर सके रोशनी में अपनी
उँगलियों पर गिनते हुए या वह बाँसुरी
बजाते हुए उस औरत को सुनाने के लिए।
itvaar. jaiketon ke batan bikhri hui
hansi ki tarah damakte hain. bas ja chuki hai.
kuch sukhad avazen—ajib baat hai
ki tum unhen sun sakte ho aur javab mein kuch kah sakte ho.
cheeD ke jhurmut ke niche ek mazdur
bansuri bajana seekh raha hai. ek aurat ne
kisi ko namaste ki—itni saral
aur svabhavik namaste
ki tumhara bhi man ho cheeD ke peDon ke niche
bansuri bajana sikhne ka.
koi bhaag dena ya ghatana nahin. bas apne se bahar
dekhne mein samarth hona—uushma aur shanti.
sirf tum nahin balki tum bhee hona.
thoDa sa joDna, thoDa sa vyavaharik ganit, itni
asani se samajh mein aane layaq
ki use koi bachcha bhi kar sake roshni mein apni
ungliyon par ginte hue ya wo bansuri
bajate hue us aurat ko sunane ke liye.

स्रोत :
पुस्तक : दरवाज़े में कोई चाबी नहीं (पृष्ठ 161)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : यानिस रित्सोस
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.