मैं चाँद को ताक कर चला करती थी
और सब दफ़ा गड्ढे में गिर पड़ती थी
निकाह के रोज ज़ाहिर हुआ कि
चाँद का कितना भी पीछा करो
वो तुमसे आगे ही रहेगा
मैं निकाह के दिन उठे
जनाज़े की रूह हूँ
जिसने तीन क़िस्मों के नमक चाटे हैं—
सामाजिक और रिश्तेदाराना और सहनशील
मेरे नाम पर मारी गई है
ठहाके की चोट
अपने दोस्तों के साथ
मुझे उछाला गया है
वहशी हैवानों के बीच
एक जेलर ने मुझे सब कुछ दिया—
दो ज़ून की रोटी
नक़ाब
नरम बिस्तर…
मैंने कहा—
आधी रोटी हमारी है
उसने मुझे सोने की ज़ंजीर में बाँध दिया
मैंने कहा—
आधा आसमाँ
आधा चाँद
आधी धरती…
उसने मुझे पायल पहना दी
मेरे होंठ सिल दिए गए
रिवायतों के धागे से
मैं कहती हूँ—
मैं चाँद से धक्का दूँगी उसे
मैं हव्वा की बेटी हूँ
फ़लक पर जा बैठूँगी एक रोज़।
main chaand ko taak kar chala karti thi
aur sab dafa gaDDhe mein gir paDti thi
nikah ke roj zahir hua ki
chaand ka kitna bhi pichha karo
wo tumse aage hi rahega
main nikah ke din uthe
janaze ki rooh hoon
jisne teen qismon ke namak chate hain—
samajik aur rishtedarana aur sahanshil
mere naam par mari gai hai
thahake ki chot
apne doston ke saath
mujhe uchhala gaya hai
vahshi haivanon ke beech
ek jelar ne mujhe sab kuch diya—
do zoon ki roti
naqab
naram bistar…
mainne kaha—
aadhi roti hamari hai
usne mujhe sone ki zanjir mein baandh diya
mainne kaha—
aadha asman
aadha chaand
aadhi dharti…
usne mujhe payal pahna di
mere honth sil diye ge
rivayton ke dhage se
main kahti hoon—
main chaand se dhakka dungi use
main havva ki beti hoon
falak par ja baithungi ek roz.
main chaand ko taak kar chala karti thi
aur sab dafa gaDDhe mein gir paDti thi
nikah ke roj zahir hua ki
chaand ka kitna bhi pichha karo
wo tumse aage hi rahega
main nikah ke din uthe
janaze ki rooh hoon
jisne teen qismon ke namak chate hain—
samajik aur rishtedarana aur sahanshil
mere naam par mari gai hai
thahake ki chot
apne doston ke saath
mujhe uchhala gaya hai
vahshi haivanon ke beech
ek jelar ne mujhe sab kuch diya—
do zoon ki roti
naqab
naram bistar…
mainne kaha—
aadhi roti hamari hai
usne mujhe sone ki zanjir mein baandh diya
mainne kaha—
aadha asman
aadha chaand
aadhi dharti…
usne mujhe payal pahna di
mere honth sil diye ge
rivayton ke dhage se
main kahti hoon—
main chaand se dhakka dungi use
main havva ki beti hoon
falak par ja baithungi ek roz.
स्रोत :
रचनाकार : रूपेश चौरसिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.