मैंने तुम्हें रानी का ओहदा दिया है
हैं महान् तुम से अन्य औरतें, महान्
हैं पवित्र तुम से अन्य औरतें, पवित्र
हैं सुंदर तुम से अन्य औरतें, सुंदर
जब तुम गुज़रती हो रास्तों से
कोई तुम्हें पहचानता नहीं
देखता नहीं कोई तुम्हारे शीशे के मुकुट, कोई नहीं
देखता सुनहरा सुर्ख़ क़ालीन
जिन पर तुम्हारे पाँव पड़ते हैं, वह
क़ालीन जो है ही नहीं।
और जब तुम झाँक कर देखती हो
सारी नदियाँ सस्वर गा उठती हैं
मेरे शरीर में बज उठती है
आकाश से आती घंटियों की आवाज़
एक पवित्र नाद छा जाता है संसार पर
केवल तुम और मैं
केवल तुम, मैं और मेरा प्रेम
उसे सुनते हैं।
और जब तुम्हारी झलक दिखती है
सारी नदियों का उफान मचल
उठता है मेरी देह में, घंटों के
गान से गूँजता है दिगंत
पवित्र नाद छा जाता है संसार पर।
mainne tumhein rani ka ohda diya hai
hain mahan tum se anya aurten, mahan
hain pavitra tum se anya aurten, pavitra
hain sundar tum se anya aurten, sundar
jab tum guzarti ho raston se
koi tumhein pahchanta nahin
dekhta nahin koi tumhare shishe ke mukut, koi nahin
dekhta sunahra surkh qalin
jin par tumhare paanv paDte hain, wo
qalin jo hai hi nahin.
aur jab tum jhaank kar dekhti ho
sari nadiyan sasvar ga uthti hain
mere sharir mein baj uthti hai
akash se aati ghantiyon ki avaz
ek pavitra naad chha jata hai sansar par
keval tum aur main
keval tum, main aur mera prem
use sunte hain.
aur jab tumhari jhalak dikhti hai
sari nadiyon ka uphaan machal
uthta hai meri deh mein, ghanton ke
gaan se gunjta hai digant
pavitra naad chha jata hai sansar par.
mainne tumhein rani ka ohda diya hai
hain mahan tum se anya aurten, mahan
hain pavitra tum se anya aurten, pavitra
hain sundar tum se anya aurten, sundar
jab tum guzarti ho raston se
koi tumhein pahchanta nahin
dekhta nahin koi tumhare shishe ke mukut, koi nahin
dekhta sunahra surkh qalin
jin par tumhare paanv paDte hain, wo
qalin jo hai hi nahin.
aur jab tum jhaank kar dekhti ho
sari nadiyan sasvar ga uthti hain
mere sharir mein baj uthti hai
akash se aati ghantiyon ki avaz
ek pavitra naad chha jata hai sansar par
keval tum aur main
keval tum, main aur mera prem
use sunte hain.
aur jab tumhari jhalak dikhti hai
sari nadiyon ka uphaan machal
uthta hai meri deh mein, ghanton ke
gaan se gunjta hai digant
pavitra naad chha jata hai sansar par.
स्रोत :
पुस्तक : प्यास से मरती एक नदी (पृष्ठ 302)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक विभा मौर्य, मीना ठाकुर
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.