तुम मुझे लौटा रहे उपहार,
इससे क्या मिलेगा?
चित्र तो लौटा दिए चलचित्र के छलछंद का क्या?
पुष्प लेकर आ गए हो किंतु उसकी गंध का क्या?
चिट्ठियाँ मसिमय रही हैं, शब्दमय कुछ भी नहीं था?
क्या घड़ी ही दी तुम्हें, मेरा समय कुछ भी नहीं था?
दो क़लम या सूखते कचनार,
इससे क्या मिलेगा?
बाँह से तुम नाम मेरा, द्वार से पद-छाप धोते।
इन सभी से आत्मा के चिह्न थोड़ी नष्ट होते!
वृक्ष पर बाँधे गए धागे नहीं विश्वास भी थे।
याद होगा कुछ इन्हीं में निर्जला उपवास भी थे।
मत करो मृदु-भाव का व्यापार,
इससे क्या मिलेगा?
मुद्रिका देकर भला क्या बंधनों से मुक्त होगे!
जो तुम्हारी उँगलियों में स्पर्श मेरा, दे सकोगे?
दे सको तो भावनाओं के मुझे भग्नाँश दे दो!
तुम मुझे मेरा वही निश्छल, छलित हृदयाँश दे दो
दी विदा में मूर्ति हृदयाकार,
इससे क्या मिलेगा?
tum mujhe lauta rahe uphaar,
isse kya milega?
chitr to lauta diye chalchitr ke chhalchhand ka kyaa?
pushp lekar aa ge ho kintu uski gandh ka kyaa?
chitthiyan masimay rahi hain, shabdmay kuch bhi nahin tha?
kya ghaDi hi di tumhein, mera samay kuch bhi nahin tha?
do qalam ya sukhte kachnar,
isse kya milega?
baanh se tum naam mera, dvaar se pad chhaap dhote.
in sabhi se aatma ke chihn thoDi nasht hote!
vriksh par bandhe ge dhage nahin vishvas bhi the.
yaad hoga kuch inhin mein nirjala upvaas bhi the.
mat karo mridu bhaav ka vyapar,
isse kya milega?
mudrika dekar bhala kya bandhnon se mukt hoge!
jo tumhari ungliyon mein sparsh mera, de sakoge?
de sako to bhavnaon ke mujhe bhagnansh de do!
tum mujhe mera vahi nishchhal, chhalit hridyansh de do
di vida mein murti hridyakar,

स्रोत :
रचनाकार : इति शिवहरे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.