रंचमच पर बिखर गया हो
जैसे इक अवसाद बंधुवर
अटक-अटककर बोल रहे है
हम सारे संवाद बंधुवर
नट नटनी से साध रहे सब
मुश्किल से ख़ुद को तारों पर
अधकचरी-सी लिखी पटकथा
किन्तु दोष है किरदारों पर
दृश्य कौन-सा, क्या कहना है
कभी न रहता याद बंधुवर!
नहीं देखता है विचार को
नहीं कथा का कथ्य देखता
विचलित किरदारों की पीड़ा
मौन खड़ा नेपथ्य देखता
दंडित भी वे ही करते हैं
जो करते अपराध, बंधुवर!
कितनी ही अनकही कथाएँ
कभी न सम्मुख आ पाती है
मन की बात जहाँ कहनी हो
वहीं यवनिका गिर जाती है
कभी न हो पाता भावों का
सही-सही अनुवाद बंधुवर!
ranchmach par bikhar gaya ho
jaise ik avsad bandhuvar
atak atakkar bol rahe hai
hum sare sanvad bandhuvar
nat natni se saadh rahe sab
mushkil se khud ko taron par
adhakachri si likhi pataktha
kintu dosh hai kirdaron par
drishya kaunsa, kya kahna hai
kabhi na rahta yaad bandhuvar!
nahin dekhta hai vichar ko
nahin katha ka kathya dekhta
vichlit kirdaron ki piDa
maun khaDa nepathya dekhta
danDit bhi ve hi karte hain
jo karte apradh, bandhuvar!
kitni hi anakhi kathayen
kabhi na sammukh aa pati hai
man ki baat jahan kahni ho
vahin yavnika gir jati hai
kabhi na ho pata bhavon ka
sahi sahi anuvad bandhuvar!
ranchmach par bikhar gaya ho
jaise ik avsad bandhuvar
atak atakkar bol rahe hai
hum sare sanvad bandhuvar
nat natni se saadh rahe sab
mushkil se khud ko taron par
adhakachri si likhi pataktha
kintu dosh hai kirdaron par
drishya kaunsa, kya kahna hai
kabhi na rahta yaad bandhuvar!
nahin dekhta hai vichar ko
nahin katha ka kathya dekhta
vichlit kirdaron ki piDa
maun khaDa nepathya dekhta
danDit bhi ve hi karte hain
jo karte apradh, bandhuvar!
kitni hi anakhi kathayen
kabhi na sammukh aa pati hai
man ki baat jahan kahni ho
vahin yavnika gir jati hai
kabhi na ho pata bhavon ka
sahi sahi anuvad bandhuvar!
स्रोत :
रचनाकार : चित्रांश वाघमारे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.