ओ युवाओं! प्राण अक्षय,मर्त्य मृत्युंजय नहीं है।
ज़िंदगी अभिनय नहीं है!
ज़िंदगी मृदु-भावनाओं में सहज निष्णात होना।
प्रेम की आराधना के प्रति विनय-प्रणिपात होना।
ये मुखर आनंदमय अनुरक्ति की उत्सर्जना है।
मौन यदि अन्याय पर,असुरारि-सुर की भर्त्सना है।
वह नहीं जीवन कि कुंदन-आँच से परिचय नहीं है।
ज़िंदगी अभिनय नहीं है!
हर्ष होना चाहिए अवसाद में क्यों हो रहे हो?
साधना के शुभ-समय में भोग में यदि खो रहे हो।
मोह-माया-मोहिनी की रीति आकर्षित करेंगी।
तामसी दुष्वृत्तियाँ हैं सर्वदा विचलित करेंगी।
किंतु इनके अनुसरण की यह यथोचित-वय नहीं है।
ज़िंदगी अभिनय नहीं है!
छोड़ जठरानल अभी हे शूर दावानल बुझा लो!
पुण्य-पथ पर पग बढ़ाओ हाथ गंगाजल उठा लो।
खोल लो अब चक्षु अपने बाहुओं में जोश भर लो।
घृणित-कलुषित कृत्य के अवितत समर उद्घोष कर लो।
फिर सुनिश्चित है विजय संघर्ष में, संशय नहीं है।
ज़िंदगी अभिनय नहीं है!
o yuvaon! praan akshay,martya mrityunjay nahin hai.
zindagi abhinay nahin hai!
zindagi mridu bhavnaon mein sahj nishnat hona.
prem ki aradhana ke prati vinay pranipat hona.
ye mukhar anandmay anurakti ki utsarjna hai.
maun yadi anyay par,asurari sur ki bhartasna hai.
wo nahin jivan ki kundan anch se parichay nahin hai.
zindagi abhinay nahin hai!
harsh hona chahiye avsad mein kyon ho rahe ho?
sadhana ke shubh samay mein bhog mein yadi kho rahe ho.
moh maya mohiani ki riti akarshit karengi.
tamasi dushvrittiyan hain sarvada vichlit karengi.
kintu inke anusran ki ye yathochit vay nahin hai.
zindagi abhinay nahin hai!
chhoD jathranal abhi he shoor davanal bujha lo!
punya path par pag baDhao haath gangajal utha lo.
khol lo ab chakshu apne bahuon mein josh bhar lo.
ghrinit kalushit kritya ke avitat samar udghosh kar lo.
phir sunishchit hai vijay sangharsh mein, sanshay nahin hai.

स्रोत :
रचनाकार : इति शिवहरे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.