kawita ki tarah chitrakla bhi manushya ki komal bhawnaon ka parinam hai jo kaam kawi karta hai, wahi chitrkar karta hai, kawi bhasha se, chitrkar pensil ya kalam se sachchi kawita ki paribhasha ye hai ki taswir kheench de usi tarah sachchi taswir ka ye gun hai ki usmen kawita ka anand aaye kawi kan ke madhyam se aatma ko sukh pahunchata hai aur chitrkar ankh ke dwara aur chunki dekhne ki shakti sunne ki apeksha adhik komal aur sanwedanshil hoti hai, isiliye jo baat chitrkar ek chinh, ek rekha, ya zara se rang se pura kar dega, wo kawi ki saikDon panktiyon se na ada ho sakegi

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere