थका सदल संतूर समय का
गा-गाकर फगुआ
मन बसंत हो सका न 'साधो'
दिन का अंत हुआ
नंदनवन में पारिजात की—
मुरझाई शाख़ें
गगन विहारी मन-विहंग की
कीलित हैं पाँखें
सपनों की पोनी-पुरिया का
टूट गया तकुआ
दिन का अंत हुआ
रीते घट पनघट पर औंधे
अंतर प्यास पले
तृप्ति खोजती रही समंदर
तट विश्वास छले
ज्वालामुखी भूख के हाथों
बोध हुआ बँधुआ
दिन का अंत हुआ
अनुवंशी अनुभवी अँधेरा
पसरा जहाँ-तहाँ
एक अकेला दिया जुझारू
जूझे कहाँ-कहाँ
रजनी के रथ पर सवार हैं
सूरज के अगुआ
दिन का अंत हुआ
सब तो माखन के साथी हैं
सबके हाथ सने
बढ़कर कौन कालिया नाथे
कान्हा कौन बने
ज़हरबाद पीड़ित कालिंदी
कौन करे निरुजा,
मन बसंत हो सका न साधो
दिन का अंत हुआ
thaka sadal santur samay ka
ga gakar phagua
man basant ho saka na sadho
din ka ant hua
nandanvan mein parijat kee—
murjhai shakhen
gagan vihari man vihang ki
kilit hain pankhen
sapnon ki poni puriya ka
toot gaya takua
din ka ant hua
rite ghat panghat par aundhe
antar pyaas pale
tripti khojti rahi samandar
tat vishvas chhale
jvalamukhi bhookh ke hathon
bodh hua bandhua
din ka ant hua
anuvanshi anubhvi andhera
pasra jahan tahan
ek akela diya jujharu
jujhe kahan kahan
rajni ke rath par savar hain
suraj ke agua
din ka ant hua
sab to makhan ke sathi hain
sab ke haath sane
baDhkar kaun kaliya nathe
kanha kaun bane
jaharbad piDit kalindi
kaun kare niruja,
man basant ho saka na sadho
din ka ant hua
thaka sadal santur samay ka
ga gakar phagua
man basant ho saka na sadho
din ka ant hua
nandanvan mein parijat kee—
murjhai shakhen
gagan vihari man vihang ki
kilit hain pankhen
sapnon ki poni puriya ka
toot gaya takua
din ka ant hua
rite ghat panghat par aundhe
antar pyaas pale
tripti khojti rahi samandar
tat vishvas chhale
jvalamukhi bhookh ke hathon
bodh hua bandhua
din ka ant hua
anuvanshi anubhvi andhera
pasra jahan tahan
ek akela diya jujharu
jujhe kahan kahan
rajni ke rath par savar hain
suraj ke agua
din ka ant hua
sab to makhan ke sathi hain
sab ke haath sane
baDhkar kaun kaliya nathe
kanha kaun bane
jaharbad piDit kalindi
kaun kare niruja,
man basant ho saka na sadho
din ka ant hua
स्रोत :
पुस्तक : आईने अँधरा गए (पृष्ठ 48)
रचनाकार : राम निहोर तिवारी
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.