अक्सर कई बार
जब हम निकलते हैं घर से
कहीं नहीं पहुँचने के लिए
तब भी हम पहुँच रहे होते हैं
दुनियाँ के मानचित्र पर
कहीं न कहीं
हम ख़ुद ठहरे होकर भी
दूसरे की यात्राओं में दाख़िल हो जाते हैं चुपचाप
हम देखते हैं भागती बसों-कारों को
सुनते हैं पास में खड़े युगल जोड़े की बातों को
जब हम कहीं नहीं पहुँचने के लिए निकलते हैं
तब
पहचानते की कोशिश करते हैं
आस-पास से गुजरते लोगों को
दरअसल उस वक्त हम ख़ुद में होते हैं
दुनिया की भीड़ से अलग
कोशिश करते हैं ख़ुद को पहचाने की
वक्त की ग़ुल्लक से
यादों के खनखनाते सिक्के को जुटाने की
ताकि बचा सके
यादें
बचा सके
इस नितांत अजनबी समय में
ख़ुद के होने का सच
सच कितना भयावह होता है
जब भी हम कहीं के लिए नहीं निकलते
सिर्फ़ एक अनथक सफ़र का हिस्सा होते हैं
ख़ुद में उलझे
एक द्वीप की तरह
सबसे कटा
सबसे दूर
अकेलेपन
और अनिश्चितताओं से भरे
एक शून्य की तरह
aksar kai baar
jab hum nikalte hain ghar se
kahin nahin pahunchne ke liye
tab bhi hum pahunch rahe hote hain
duniyan ke manachitr par
kahin na kahin
hum khud thahre hokar bhi
dusre ki yatraon mein dakhil ho jate hain chupchap
hum dekhte hain bhagti bason karon ko
sunte hain paas mein khaDe yugal joDe ki baton ko
jab hum kahin nahin pahunchne ke liye nikalte hain
tab
pahchante ki koshish karte hain
aas paas se gujarte logon ko
darasal us vakt hum khud mein hote hain
duniya ki bheeD se alag
koshish karte hain khud ko pahchane ki
vakt ki ghullak se
yadon ke khankhanate sikke ko jutane ki
taki bacha sake
yaden
bacha sake
is nitant ajnabi samay men
khud ke hone ka sach
sach kitna bhayavah hota hai
jab bhi hum kahin ke liye nahin nikalte
sirf ek anthak safar ka hissa hote hain
khud mein uljhe
ek dveep ki tarah
sabse kata
sabse door
akelepan
aur anishchittaon se bhare
ek shunya ki tarah
aksar kai baar
jab hum nikalte hain ghar se
kahin nahin pahunchne ke liye
tab bhi hum pahunch rahe hote hain
duniyan ke manachitr par
kahin na kahin
hum khud thahre hokar bhi
dusre ki yatraon mein dakhil ho jate hain chupchap
hum dekhte hain bhagti bason karon ko
sunte hain paas mein khaDe yugal joDe ki baton ko
jab hum kahin nahin pahunchne ke liye nikalte hain
tab
pahchante ki koshish karte hain
aas paas se gujarte logon ko
darasal us vakt hum khud mein hote hain
duniya ki bheeD se alag
koshish karte hain khud ko pahchane ki
vakt ki ghullak se
yadon ke khankhanate sikke ko jutane ki
taki bacha sake
yaden
bacha sake
is nitant ajnabi samay men
khud ke hone ka sach
sach kitna bhayavah hota hai
jab bhi hum kahin ke liye nahin nikalte
sirf ek anthak safar ka hissa hote hain
khud mein uljhe
ek dveep ki tarah
sabse kata
sabse door
akelepan
aur anishchittaon se bhare
ek shunya ki tarah
स्रोत :
रचनाकार : मधु सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.