अपने सबसे असहाय विचारों में भी
ऐसे ईश्वर की प्रार्थना मत करना
जो उसका भी हो
जिसने लाखों हत्याओं को अंजाम दिया
कभी सुमिरन मत करना वे मंत्र
जो अस्पताल की बेंचों के बाहर
अँधेरे कोनों में
काँपते होंठों ने पढ़े
और गँवा दी अपनी आख़िरी आस
अपने सबसे क्रूर विचारों में
डरना उन मासूम बच्चों से
जो बंदूक़ की नलियों के सामने
बमबारी के शोर में भी
जीने और जीवित रहने की ईक्षा नहीं छोड़ते
एक युद्धग्रस्त क्षेत्र के बच्चे ने कहा था
उसे चीनी खानी है
जान के बदले जान माँगने वालों के ईश्वर
इनके ईश्वर के मित्र नहीं होंगे
वरना वे भी कहते
कि बंदूक़ और बमों को दफ़नाकर
हम फल क्यूँ नहीं उगाते!
apne sabse ashay vicharon mein bhi
aise iishvar ki pararthna mat karna
jo uska bhi ho
jisne lakhon hatyaon ko anjam diya
kabhi sumiran mat karna ve mantr
jo aspatal ki benchon ke bahar
andhere konon men
kanpte honthon ne paDhe
aur ganva di apni akhiri aas
apne sabse kroor vicharon men
Darna un masum bachchon se
jo banduq ki naliyon ke samne
bambari ke shor mein bhi
jine aur jivit rahne ki iiksha nahin chhoDte
ek yuddhagrast kshetr ke bachche ne kaha tha
use chini khani hai
jaan ke badle jaan mangne valon ke iishvar
inke iishvar ke mitr nahin honge
varna ve bhi kahte
ki banduq aur bamon ko dafnakar
hum phal kyoon nahin ugate!
apne sabse ashay vicharon mein bhi
aise iishvar ki pararthna mat karna
jo uska bhi ho
jisne lakhon hatyaon ko anjam diya
kabhi sumiran mat karna ve mantr
jo aspatal ki benchon ke bahar
andhere konon men
kanpte honthon ne paDhe
aur ganva di apni akhiri aas
apne sabse kroor vicharon men
Darna un masum bachchon se
jo banduq ki naliyon ke samne
bambari ke shor mein bhi
jine aur jivit rahne ki iiksha nahin chhoDte
ek yuddhagrast kshetr ke bachche ne kaha tha
use chini khani hai
jaan ke badle jaan mangne valon ke iishvar
inke iishvar ke mitr nahin honge
varna ve bhi kahte
ki banduq aur bamon ko dafnakar
hum phal kyoon nahin ugate!
स्रोत :
रचनाकार : प्राची
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.