दुपहर—खिड़कियों के परदों का उठा देना
चमकते हुए आँगन का भी ख़ूबसूरत कमरे-सा लगना
धूप में सेब-लाल सेब की गर्म महक
और छोटी-छोटी छतें : ऐसी बातें जो प्यार जगाएँ
शीशे के गिलास में ठंडे पानी से गला सींचना
और गिलास में उस स्नेह-भरे कमरे में उड़ते हुए
छोटे-छोटे देवदूतों की छाया देखना
नाशपाती को छूकर धरती की गोलाई का अनुमान करना
यह सोचना कि कुछ बदल जाता है
फिर भी पता नहीं क्या बात है कुछ भी नहीं बदलता।
अंत में एक परिपक्व दृष्टि
जो सभी उलझनों में मूल सूत्र पहचान लेती है
मूल सूत्र है सहज जीवन की साधारण बातें
...रोटी, शहद, धूप, गीत
मूल तत्त्व है—सहज-मन वाला आदमी
जो गुलाब की पाँखुरियों को तोड़ता हुआ
मेज़पोश पर नाख़ूनों से किसी का नाम लिखता है।
जाड़े की दुपहर में।
duphar—khiDakiyon ke pardon ka utha dena
chamakte hue angan ka bhi khubsurat kamre sa lagna
dhoop mein seb laal seb ki garm mahak
aur chhoti chhoti chhaten ha aisi baten jo pyaar jagayen
shishe ke gilas mein thanDe pani se gala sinchna
aur gilas mein us sneh bhare kamre mein uDte hue
chhote chhote devduton ki chhaya dekhana
nashpati ko chhukar dharti ki golai ka anuman karna
ye sochna ki kuch badal jata hai
phir bhi pata nahin kya baat hai kuch bhi nahin badalta.
ant mein ek paripakv drishti
jo sabhi ulajhnon mein mool sootr pahchan leti hai
mool sootr hai sahj jivan ki sadharan baten
. . . roti, shahd, dhoop, geet
mool tattv hai—sahj man vala adami
jo gulab ki pankhuriyon ko toDta hua
mezposh par nakhunon se kisi ka naam likhta hai.
jaDe ki duphar mein.

स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 356)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : हैमे तोरेस बोदेत
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.