क्या यह पानी है
जी हाँ
यह पानी है
हमको इसमें कोई संदेह नहीं है
पानी के नियमों का यह पालन करता
बूँदों में झरता है
बहता है
प्रांजलता-पावनता की सारी जाँचों पर
खरा उतरता है
लेकिन क्या
यह प्यास मिटा सकता है
कपड़े धो सकता है
इसको चाव नहीं है किंचित्
अपने कूलों को दुलराए
लहरों की कल-कल से या नरकुल से
इसके गहरे अंतराल में
नहीं चमकती रजत मछलियाँ
लहराती घास सिवार नहीं है
इसके विस्तृत तट के ऊपर
पंछी गाते गीत नहीं हैं
और न रोया विलो कभी है
क्या यह पानी है
जी हाँ
यह पानी है
सिद्ध हो चुका है यह
सारे ही नियमों से
यद्यपि इसमें लहर न उठती
और न स्पन्दन है
वैसे इस एच 2 ओ में
सब कुछ वही मिलेगा जो पानी में
अतिरिक्त एक जीवन के।
kya ye pani hai
ji haan
ye pani hai
hamko ismen koi sandeh nahin hai
pani ke niymon ka ye palan karta
bundon mein jharta hai
bahta hai
pranjalta pavanta ki sari janchon par
khara utarta hai
lekin kya
ye pyaas mita sakta hai
kapDe dho sakta hai
isko chaav nahin hai kinchit
apne kulon ko dulraye
lahron ki kal kal se ya narkul se
iske gahre antral men
nahin chamakti rajat machhliyan
lahrati ghaas sivar nahin hai
iske vistrit tat ke uupar
panchhi gate geet nahin hain
aur na roya vilo kabhi hai
kya ye pani hai
ji haan
ye pani hai
siddh ho chuka hai ye
sare hi niymon se
yadyapi ismen lahr na uthti
aur na spandan hai
vaise is ech 2 o men
sab kuch vahi milega jo pani men
atirikt ek jivan ke
kya ye pani hai
ji haan
ye pani hai
hamko ismen koi sandeh nahin hai
pani ke niymon ka ye palan karta
bundon mein jharta hai
bahta hai
pranjalta pavanta ki sari janchon par
khara utarta hai
lekin kya
ye pyaas mita sakta hai
kapDe dho sakta hai
isko chaav nahin hai kinchit
apne kulon ko dulraye
lahron ki kal kal se ya narkul se
iske gahre antral men
nahin chamakti rajat machhliyan
lahrati ghaas sivar nahin hai
iske vistrit tat ke uupar
panchhi gate geet nahin hain
aur na roya vilo kabhi hai
kya ye pani hai
ji haan
ye pani hai
siddh ho chuka hai ye
sare hi niymon se
yadyapi ismen lahr na uthti
aur na spandan hai
vaise is ech 2 o men
sab kuch vahi milega jo pani men
atirikt ek jivan ke
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 157)
रचनाकार : लियोनिद मार्त्यनोव
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.