फेरीवाले गली में क़रारी आवाज़ें लगाते हैं
शायद उन्हें हमारी ज़रूरत है
उनकी मासूमियत और असंगठन के भ्रम को
हम चला सकते हैं
कम वे भी नहीं हैं और अनजान बनते हुए
हमारे मनसूबे से कामयाबी से खेलते हैं
उनके पहनावों में दिलकश लापरवाही है
और उनकी आवाज़ का तीखापन
ईर्ष्या पैदा करता है
वे हमारी तरह डरे हुए नहीं हैं
क्यों उन्होंने सारे मौसमों को साध लिया है
उनकी भाषा-नीति सरल और मज़बूत है
उसे वे सिर पर नहीं चढ़ने देते
हम यहीं फँसे हैं, अपनी कॉलोनी को ख़ामख़ाँ
क़िला समझते हैं
फेरीवाले हमारे देखने की अनदेखी करते हैं और
रोज़ आगे बढ़ते हैं,
पीछे तो वह जाने से रहे।
feri vale gali mein karari avazen lagate hain
shayad unhen hamari zarurat hai
unki masumiyat aur asangthan ke bhram ko
hum chala sakte hain
kam ve bhi nahin hain aur anjan bante hue
hamare mansube se kamyabi se khelte hain
unke pahnavon mein dilkash laparvahi hai
aur unki avaz ka tikhapan
iirshya paida karta hai
ve hamari tarah Dare hue nahin hain
kyon unhonne sare mausmon ko saadh liya hai
unki bhasha niti saral aur mazbut hai
use ve sir par nahin chaDhne dete
hum yahin phanse hain, apni kauloni ko khamkhan
qila samajhte hain
ferivale hamare dekhne ki andekhi karte hain aur
roz aage baDhte hain,
pichhe to wo jane se rahe.

स्रोत :
पुस्तक : पानी है तो फूटेगा (पृष्ठ 63)
रचनाकार : राजेश सकलानी
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.