वक़्त आ गया है कि अब मैं कुछ कहूँ
मेरी इस हिसाबी चुप्पी को तोड़ने का
अब वक़्त आ गया है
मौजूदा मित्रों को जिसकी चोट से मैं बचाए हूँ।
मैं उनकी वजह से इंतहा शर्मिंदा हूँ
जो चाल में हल्की-सी जुम्बिश ला
जो उनकी हिचक का हिसाब दे देती
मेरी बग़ल से चुपचाप गुज़र जाते हैं
मैं तब बहुत स्वस्थ महसूस करता हूँ
जब मेरा हृदय ग़ुस्से, चोट या वितृष्णा से
भर नहीं उठता
जब कोई मेरी पहचान से भी अनजान बन
चुपके से मेरी बग़ल से गुज़र जाता है
और वे जो आत्मरक्षा के पता नहीं
किस घोंसले को सीने से चिपटाए हैं ऐसे
कि पारंपरिक बधाई का एक शब्द भी
लिख नहीं पाते
मेरी ओर वे अपना केवल वही पक्ष करते हैं
जो विस्मृति की सीमा तक ठंडा हो चुका है
यदि कछ लोग क़ानून के कठोर नियम से,
विधान की अनिश्चितता की वजह से
दूर रहना चाहते हैं तो समझ में आने वाली बात है
पर वे
जो फँस जाने के भय से अपने भीतर
सिकुड़ जाते हैं—वे…
vaqt aa gaya hai ki ab main kuch kahun
meri is hisabi chuppi ko toDne ka
ab vaqt aa gaya hai
maujuda mitron ko jiski chot se main bachaye hoon.
main unki vajah se intha sharminda hoon
jo chaal mein halki si jumbish la
jo unki hichak ka hisab de deti
meri baghal se chupchap guzar jate hain
main tab bahut svasth mahsus karta hoon
jab mera hriday ghusse, chot ya vitrishna se
bhar nahin uthta
jab koi meri pahchan se bhi anjan ban
chupke se meri baghal se guzar jata hai
aur ve jo atmaraksha ke pata nahin
kis ghonsle ko sine se chiptaye hain aise
ki paramprik badhai ka ek shabd bhi
likh nahin pate
meri or ve apna keval vahi paksh karte hain
jo vismriti ki sima tak thanDa ho chuka hai
yadi kachh log qanun ke kathor niyam se,
vidhan ki anishchitta ki vajah se
door rahna chahte hain to samajh mein aane vali baat hai
par ve
jo phans jane ke bhay se apne bhitar
sikuD jate hain—ve…
vaqt aa gaya hai ki ab main kuch kahun
meri is hisabi chuppi ko toDne ka
ab vaqt aa gaya hai
maujuda mitron ko jiski chot se main bachaye hoon.
main unki vajah se intha sharminda hoon
jo chaal mein halki si jumbish la
jo unki hichak ka hisab de deti
meri baghal se chupchap guzar jate hain
main tab bahut svasth mahsus karta hoon
jab mera hriday ghusse, chot ya vitrishna se
bhar nahin uthta
jab koi meri pahchan se bhi anjan ban
chupke se meri baghal se guzar jata hai
aur ve jo atmaraksha ke pata nahin
kis ghonsle ko sine se chiptaye hain aise
ki paramprik badhai ka ek shabd bhi
likh nahin pate
meri or ve apna keval vahi paksh karte hain
jo vismriti ki sima tak thanDa ho chuka hai
yadi kachh log qanun ke kathor niyam se,
vidhan ki anishchitta ki vajah se
door rahna chahte hain to samajh mein aane vali baat hai
par ve
jo phans jane ke bhay se apne bhitar
sikuD jate hain—ve…
स्रोत :
पुस्तक : पुनर्वसु (पृष्ठ 271)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : डेनिस ब्रूटस
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.