यह तय है कि वह मारा जाएगा
पर उसकी हत्या में
हथियार शामिल नहीं होंगे
सब्ज़ी काटने से भले ही गंदा हो जाय कोई चाक़ू
उसके ख़ून से तो हरगिज़ नहीं
किसी दिन वह एक गाड़ी के नीचे
नहीं आएगा बचकर बग़ल से गुज़रता
उसकी ख़ूबसूरती से मारा जाएगा
किसी दिन अपने इकलौते सूट में जबरन घुसा हुआ
एक शानदार दावत में घुसपैठिया-सा वह
खाकर जबरन रोकेगा डकार
बीवी की नाक तक ख़ुशबू ले आने
बग़ैर साबुन से हाथ मले लौटेगा
कि रास्ते में ही अँगुलियों की जूठी ख़ुशबू डस लेगी उसे
साहब की घूसख़ोरी से नहीं डाँट से नहीं
उनके बड़े बेटे के आत्मविश्वास
और छोटे बेटे की अँग्रेज़ी से मारा जाएगा वह
वह मारा जाएगा प्रेम से
जो अमीर छोकरों ने किया
साहसी ग़ुंडों ने किया
उसने जो नहीं किया उस प्रेम से मारा जाएगा वह
ऐसी ही मासमू चीज़ों से मारा जाएगा वह लेकिन
मरकर न अमर होगा वह न मुर्दा
उसकी हत्या
इतिहास में तो क्या
थाने में भी दर्ज मिलेगी आपको।
ye tay hai ki wo mara jayega
par uski hattya mein
hathiyar shamil nahin honge
sabzi katne se bhale hi ganda ho jay koi chaqu
uske khoon se to hargiz nahin
kisi din wo ek gaDi ke niche
nahin ayega bachkar baghal se guzarta
uski khubsurati se mara jayega
kisi din apne iklaute soot mein jabran ghusa hua
ek shanadar dawat mein ghuspaithiya sa wo
khakar jabran rokega Dakar
biwi ki nak tak khushbu le aane
baghair sabun se hath male lautega
ki raste mein hi anguliyon ki juthi khushbu Das legi use
sahab ki ghuskhori se nahin Dant se nahin
unke baDe bete ke atmawishwas
aur chhote bete ki angrezi se mara jayega wo
wo mara jayega prem se
jo amir chhokron ne kiya
sahasi ghunDon ne kiya
usne jo nahin kiya us prem se mara jayega wo
aisi hi masmu chizon se mara jayega wo lekin
markar na amar hoga wo na murda
uski hattya
itihas mein to kya
thane mein bhi darj milegi aapko
ye tay hai ki wo mara jayega
par uski hattya mein
hathiyar shamil nahin honge
sabzi katne se bhale hi ganda ho jay koi chaqu
uske khoon se to hargiz nahin
kisi din wo ek gaDi ke niche
nahin ayega bachkar baghal se guzarta
uski khubsurati se mara jayega
kisi din apne iklaute soot mein jabran ghusa hua
ek shanadar dawat mein ghuspaithiya sa wo
khakar jabran rokega Dakar
biwi ki nak tak khushbu le aane
baghair sabun se hath male lautega
ki raste mein hi anguliyon ki juthi khushbu Das legi use
sahab ki ghuskhori se nahin Dant se nahin
unke baDe bete ke atmawishwas
aur chhote bete ki angrezi se mara jayega wo
wo mara jayega prem se
jo amir chhokron ne kiya
sahasi ghunDon ne kiya
usne jo nahin kiya us prem se mara jayega wo
aisi hi masmu chizon se mara jayega wo lekin
markar na amar hoga wo na murda
uski hattya
itihas mein to kya
thane mein bhi darj milegi aapko
स्रोत :
रचनाकार : चंदन सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.