शहर को शहर बनाते हैं
गाँव से उखड़े हुए
कुछ लोग
जिसकी न ज़मीं अपनी होती
न आसमान अपना होता
आधी रोटी खाते
और आधी ही उम्र जीते
ये लोग
उग आते हैं शहर में
कुकुरमुत्ते की तरह
गगनचुंबी इमारतें बनाते
सजाते-सँवारते
शहर को शहर बनाते
ये लोग
अपना ठौर तलाशते
भटकते रहते हैं
ख़ानाबदोश की तरह
शहर की तंग गलियों में
नमक की तरह
घुल जाने की इनकी आदत
शहर की हवा संग
घुल जाना चाहती है
किंतु खारा जल समझकर
शहर ने हमेशा ही
इसे दरकिनार किया
गाँव की गंध में लिपटा हुआ तन-मन
न कभी शहर का हो सका
और न ही गाँव का
‘गँवार’ का तमग़ा लटकाए
डोलते रहते हैं
शहर की तंग गलियों में
रोटी की तलाश में।
shahr ko shahr banate hain
gaanv se ukhDe hue
kuch log
jiski na zamin apni hoti
na asman apna hota
aadhi roti khate
aur aadhi hi umr jite
ye log
ug aate hain shahr men
kukurmutte ki tarah
gaganchumbi imaraten banate
sajate sanvarte
shahr ko shahr banate
ye log
apna thaur talashte
bhatakte rahte hain
khanabadosh ki tarah
shahr ki tang galiyon men
namak ki tarah
ghul jane ki inki aadat
shahr ki hava sang
ghul jana chahti hai
kintu,kharajal samajhkar
shahr ne hamesha hi
ise darkinar kiya
gaanv ki gandh mein lipta hua tan man
na kabhi shahr ka ho saka
aur na hi gaanv ka
‘ganvar’ ka tamgha latkaye
Dolte rahte hain
shahr ki tang galiyon men
roti ki talash mein.
shahr ko shahr banate hain
gaanv se ukhDe hue
kuch log
jiski na zamin apni hoti
na asman apna hota
aadhi roti khate
aur aadhi hi umr jite
ye log
ug aate hain shahr men
kukurmutte ki tarah
gaganchumbi imaraten banate
sajate sanvarte
shahr ko shahr banate
ye log
apna thaur talashte
bhatakte rahte hain
khanabadosh ki tarah
shahr ki tang galiyon men
namak ki tarah
ghul jane ki inki aadat
shahr ki hava sang
ghul jana chahti hai
kintu,kharajal samajhkar
shahr ne hamesha hi
ise darkinar kiya
gaanv ki gandh mein lipta hua tan man
na kabhi shahr ka ho saka
aur na hi gaanv ka
‘ganvar’ ka tamgha latkaye
Dolte rahte hain
shahr ki tang galiyon men
roti ki talash mein.
स्रोत :
रचनाकार : वंदना पराशर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.