उन प्रेमिकाओं के लिए उदास हूँ
जिनके प्रेमी युद्ध में मार दिए गए
उन बच्चों के लिए उदास हूँ
जो अपना जन्मदिन बग़ैर पिता मनाएँगे
उन पत्नियों के लिए उदास हूँ
जो यह शिकायत करती जिएँगी
कि युद्ध लड़े बिना क्यों नहीं रह सकती है दुनिया
कितना कमज़ोर पड़ गया प्रेम
घृणा कितनी भारी पड़ गई
सोचकर उदास हूँ
उदास हूँ
कि एक दिन मैं भी मिट जाऊँगा
हो जाऊँगा राख, मिट्टी में मिल जाऊँगा
प्रेम करने वाले रोते रहेंगे
ठहाके लगाएँगे घृणा करने वाले
युद्ध जारी रहेगा
उदास हूँ
कि उदास होने
और उसे कविता में कह देने के सिवा
एक कवि कर भी क्या सकता है!
un premikaon ke liye udaas hoon
jinke premi yuddh mein maar diye ge
un bachchon ke liye udaas hoon
jo apna janmdin baghair pita manayenge
un patniyon ke liye udaas hoon
jo ye shikayat karti jiyengi
ki yuddh laDe bina kyon nahin rah sakti hai duniya
kitna kamzor paD gaya prem
ghrina kitni bhari paD gai
sochkar udaas hoon
udaas hoon
ki ek din main bhi mit jaunga
ho jaunga raakh, mitti mein mil jaunga
prem karne vale rote rahenge
thahake lagayenge ghrina karne vale
yuddh jari rahega
udaas hoon
ki udaas hone
aur use kavita mein kah dene ke siva
ek kavi kar bhi kya sakta hai!
un premikaon ke liye udaas hoon
jinke premi yuddh mein maar diye ge
un bachchon ke liye udaas hoon
jo apna janmdin baghair pita manayenge
un patniyon ke liye udaas hoon
jo ye shikayat karti jiyengi
ki yuddh laDe bina kyon nahin rah sakti hai duniya
kitna kamzor paD gaya prem
ghrina kitni bhari paD gai
sochkar udaas hoon
udaas hoon
ki ek din main bhi mit jaunga
ho jaunga raakh, mitti mein mil jaunga
prem karne vale rote rahenge
thahake lagayenge ghrina karne vale
yuddh jari rahega
udaas hoon
ki udaas hone
aur use kavita mein kah dene ke siva
ek kavi kar bhi kya sakta hai!
स्रोत :
रचनाकार : कुंदन सिद्धार्थ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.