हे ईश्वर तुमने कितने बनाए कवि
कितनों को भाषा दी?
वे इतने मन मत्त कि भूल गए
उन्हें देह भी मिली, दिमाग़ भी हासिल
दीन भी बना कुछ उनका
दुनिया थोड़ी उनके भी हिस्से में
उनके भी ज़िम्मे में
सब इसी बात में ग़ाफ़िल कि
उन्हें ज़ुबान मिली मन-माफ़िक़
पर बहरा मुल्क मिला
लिहाज़ा हर मुँह सिला
हर चीज़ को क़ाबू में लाने की
नेस्तनाबूद करने की
दुविधाग्रस्त शक्ति
शौर्य भरा फ़रेब
ब्रह्मनंद सहोदर
हे ईश्वर तुमने बनाए इतने
सुखनवर
कुछ और बात होती गर
दी होती उन्हें थोड़ी बहुत नज़र
कुछ कम ही दिए होते शब्द
श्याम को स्याम कहते
ग़ौर को गौर
वह ही तो होता
अंदाज़े-बयाँ और
अभी तो इतनी मनमानी है
गिरा अनयन नयन बिनु बानी है।
he ishwar tumne kitne banaye kawi
kitnon ko bhasha dee?
we itne man matt ki bhool gaye
unhen deh bhi mili, dimagh bhi hasil
deen bhi bana kuch unka
duniya thoDi unke bhi hisse mein
unke bhi zimme mein
sab isi baat mein ghafil ki
unhen zuban mili man mafiq
par bahra mulk mila
lihaza har munh sila
har cheez ko qabu mein lane ki
nestanabud karne ki
duwidhagrast shakti
shaury bhara fareb
brahmnand sahodar
he ishwar tumne banaye itne
sukhanwar
kuch aur baat hoti gar
di hoti unhen thoDi bahut nazar
kuch kam hi diye hote shabd
shyam ko syam kahte
ghaur ko gaur
wo hi to hota
andaze bayan aur
abhi to itni manmani hai
gira anyan nayan binu bani hai
he ishwar tumne kitne banaye kawi
kitnon ko bhasha dee?
we itne man matt ki bhool gaye
unhen deh bhi mili, dimagh bhi hasil
deen bhi bana kuch unka
duniya thoDi unke bhi hisse mein
unke bhi zimme mein
sab isi baat mein ghafil ki
unhen zuban mili man mafiq
par bahra mulk mila
lihaza har munh sila
har cheez ko qabu mein lane ki
nestanabud karne ki
duwidhagrast shakti
shaury bhara fareb
brahmnand sahodar
he ishwar tumne banaye itne
sukhanwar
kuch aur baat hoti gar
di hoti unhen thoDi bahut nazar
kuch kam hi diye hote shabd
shyam ko syam kahte
ghaur ko gaur
wo hi to hota
andaze bayan aur
abhi to itni manmani hai
gira anyan nayan binu bani hai
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 71)
रचनाकार : सुदीप बॅनर्जी
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.