आप लोहे की कार का आनंद लेते हो
मेरे पास लोहे की बंदूक़ है
मैंने लोहा खा गै
आप लोहे की बात करते हो
लोहा जब पिघलता है
तो भाप नहीं निकलती
जब कुठाली उठाने वालों के दिलों से
भाप निकलती है
तो लोहा पिघल जाता है
पिघले हुए लोहे को
किसी भी आकार में
ढाला जा सकता है
कुठाली में देश की तक़दीर ढली होती है
यह मेरी बंदूक़
आपके बैंकों के सेफ़;
और पहाड़ों को उलटाने वाली मशीनें,
सब लोहे के हैं
शहर से वीराने तक हर फ़र्क़
बहन से वेश्या तक हर एहसास
मालिक से मुलाज़िम तक हर रिश्ता
बिल से क़ानून तक हर सफ़र
शोषणतंत्र से इंक़लाब तक हर इतिहास
जंगल, कोठरियों व झोंपड़ियों से लेकर इंटैरोगेशन तक
हर मुक़ाम सब लोहे के हैं
लोहे ने बड़ी देर इतंज़ार किया है
कि लोहे पर निर्भर लोग
लोहे की पत्तियाँ खाकर
ख़ुदकुशी करना छोड़ दें
मशीनों में फँसकर फूस की तरह उड़ने वाले
लावारिसों की बीवियाँ
लोहे की कुर्सियों पर बैठे वारिसों के पास
कपड़े तक ख़ुद उतारने के लिए मजबूर न हों
लेकिन आख़िर लोहे को
पिस्तौलों, बंदूक़ों और बमों की
शक्ल लेनी पड़ी है
आप लोहे की चमक में चुंधियाकर
अपनी बेटी को बीवी समझ सकते हैं,
(लेकिन) मैं लौहे की आँख से
दोस्तों के मुखौटे पहने दुश्मन
भी पहचान सकता हूँ
क्योंकि मैंने लोहा खाया है
आप लोहे की बात करते हो।
aap lohe ki kar ka anand lete ho
mere pas lohe ki banduq hai
mainne loha kha gai
ap lohe ki baat karte ho
loha jab pighalta hai
to bhap nahin nikalti
jab kuthali uthane walon ke dilon se
bhap nikalti hai
to loha pighal jata hai
pighle hue lohe ko
kisi bhi akar mein
Dhala ja sakta hai
kuthali mein desh ki taqdir Dhali hoti hai
ye meri banduq
apke bainkon ke sef;
aur pahaDon ko ultane wali mashinen,
sab lohe ke hain
shahr se wirane tak har farq
bahan se weshya tak har ehsas
malik se mulazim tak har rishta
bil se qanun tak har safar
shoshantantr se inqlab tak har itihas
jangal, kothariyon wa jhompaDiyon se lekar intairogeshan tak
har muqam sab lohe ke hain
lohe ne baDi der itanzar kiya hai
ki lohe par nirbhar log
lohe ki pattiyan khakar
khudakushi karna chhoD den
mashinon mein phansakar phoos ki tarah uDne wale
lawarison ki biwiyan
lohe ki kursiyon par baithe warison ke pas
kapDe tak khu utarne ke liye majbur na hon
lekin akhir lohe ko
pistaulon, banduqon aur bamon ki
shakl leni paDi hai
ap lohe ki chamak mein chundhiyakar
apni beti ko biwi samajh sakte hain,
(lekin) main lauhe ki ankh se
doston ke mukhaute pahne dushman
bhi pahchan sakta hoon
kyonki mainne loha khaya hai
ap lohe ki baat karte ho
aap lohe ki kar ka anand lete ho
mere pas lohe ki banduq hai
mainne loha kha gai
ap lohe ki baat karte ho
loha jab pighalta hai
to bhap nahin nikalti
jab kuthali uthane walon ke dilon se
bhap nikalti hai
to loha pighal jata hai
pighle hue lohe ko
kisi bhi akar mein
Dhala ja sakta hai
kuthali mein desh ki taqdir Dhali hoti hai
ye meri banduq
apke bainkon ke sef;
aur pahaDon ko ultane wali mashinen,
sab lohe ke hain
shahr se wirane tak har farq
bahan se weshya tak har ehsas
malik se mulazim tak har rishta
bil se qanun tak har safar
shoshantantr se inqlab tak har itihas
jangal, kothariyon wa jhompaDiyon se lekar intairogeshan tak
har muqam sab lohe ke hain
lohe ne baDi der itanzar kiya hai
ki lohe par nirbhar log
lohe ki pattiyan khakar
khudakushi karna chhoD den
mashinon mein phansakar phoos ki tarah uDne wale
lawarison ki biwiyan
lohe ki kursiyon par baithe warison ke pas
kapDe tak khu utarne ke liye majbur na hon
lekin akhir lohe ko
pistaulon, banduqon aur bamon ki
shakl leni paDi hai
ap lohe ki chamak mein chundhiyakar
apni beti ko biwi samajh sakte hain,
(lekin) main lauhe ki ankh se
doston ke mukhaute pahne dushman
bhi pahchan sakta hoon
kyonki mainne loha khaya hai
ap lohe ki baat karte ho
स्रोत :
पुस्तक : लहू है कि तब भी गाता है (पृष्ठ 162)
संपादक : चमनलाल, कात्यायनी
रचनाकार : पाश
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.