निरर्थक साधनाओं में क़ैद होता संसार
तुमको तलाशता सुदूर तीर्थों में
और मैं लिखती हूँ
तुम्हारी विस्तृत हथेली पर
वे तमाम प्रणय-गीत
जो मेरा ह्रदय गाता है।
व्यर्थ कर्मकांडों के वशीभूत होता संसार
तुम को ढूँढ़ता बेमतलब क्रियाओं में
और मैं निमग्न होती हूँ
उस चरमबिंदु पर
जहाँ आसन-रत हो
प्रेम ईश्वर हो जाता है।
अर्थहीन आडंबरों से आच्छादित होता संसार
तुमको देखता निर्जीव पाषाणों में
और मैं तन्मय होती हूँ
हृदय के उस घाट पर
जहाँ हिम-द्रवित हो
गंगा का उद्गम हो जाता है।
मिथ्या अर्चन से सम्मोहित होता संसार
तुमको पुकारता उन्मादी कोलाहल में
और मैं मल्हार रचती हूँ
अंतस के उस सभा-मंडल में
जहाँ घनगर्जित हो
जीवन स्वयंप्रभु हो जाता है।
nirarthak sadhnaon mein qaid hota sansar
tumko talashta sudur tirthon mein
aur main likhti hoon
tumhari vistrit hatheli par
wo tamam pranay geet
jo mera hrday gata hai.
byarth karmkanDon ke vashibhut hota sansar
tum ko DhunDhata bematlab kriyaon mein
aur main nimagn hoti hoon
us charambindu par
jahan aasan rat ho
prem ishvar ho jata hai.
arthahin aDambron se achchhadit hota sansar
tumko dekhta nirjiv pashanon mein
aur main tanmay hoti hoon
hirdai ke us ghaat par
jahan him drvit ho
ganga ka udgam ho jata hai.
mithya archan se sammohit hota sansar
tumko pukarta unmadi kolahal mein
aur main malhar rachti hoon
antas ke us sabha manDal mein
jahan ghangarjit ho
jivan svayamprabhu ho jata hai.
nirarthak sadhnaon mein qaid hota sansar
tumko talashta sudur tirthon mein
aur main likhti hoon
tumhari vistrit hatheli par
wo tamam pranay geet
jo mera hrday gata hai.
byarth karmkanDon ke vashibhut hota sansar
tum ko DhunDhata bematlab kriyaon mein
aur main nimagn hoti hoon
us charambindu par
jahan aasan rat ho
prem ishvar ho jata hai.
arthahin aDambron se achchhadit hota sansar
tumko dekhta nirjiv pashanon mein
aur main tanmay hoti hoon
hirdai ke us ghaat par
jahan him drvit ho
ganga ka udgam ho jata hai.
mithya archan se sammohit hota sansar
tumko pukarta unmadi kolahal mein
aur main malhar rachti hoon
antas ke us sabha manDal mein
jahan ghangarjit ho
jivan svayamprabhu ho jata hai.
स्रोत :
रचनाकार : अनुजीत इक़बाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.