प्रवाह के साथ बहते
चिकने पत्थर
प्रतिरोध नहीं करते
उनका आकार-प्रकार
गति और स्थिति
सब नदी से है
नदी ही देती है उन्हें शक्ल-ओ-सूरत
प्रवाह पतित होने के बाद
मायने नहीं रखता
उनका अपना कोई चुनाव
अपनी कोई पसंद
कोई इच्छा
साथ-साथ बहना
अनगिन थपेड़े सहना
तलहटी में चुपचाप पड़े रहना
उनकी नियति है
लेकिन खुरदुरे पत्थर
आत्मसमर्पण नहीं करते
प्रवाह से टकराते हैं
दो-दो हाथ करते हैं
नदी के शांत स्निग्ध प्रवाह में
मचाते हैं हलचल
नदी में सहसा उछल पड़ने वाली बूँदें
बनने वाली ऊर्मियाँ
गवाह हैं इसकी
खुरदुरे पत्थर ज़मीन पर
मज़बूती से टिकाए रखते हैं अपने पाँव
नदी को साधने का
साधते हैं दाँव
खुरदुरे पत्थर नदी को
फिसलने से बचाते हैं
थामते हैं, विलमाते हैं
नदी को छुपने की
सुस्ताने की देते हैं ठाँव
सही मायने में
खुरदुरे पत्थर ही गढ़ते हैं नदी को
देते हैं दिशा और आकार
तोड़ते हैं उसकी एकरसता
घोलते हैं नवीनता
रचते हैं नया संगीत
सौंदर्य का नया संसार
खुली आँखों से देखना
खुरदुरे पत्थरों का खुरदुरापन
सब कुछ बयाँ करता है।
pravah ke saath bahte
chikne patthar
pratirodh nahin karte
unka akar prakar
gati aur sthiti
sab nadi se hai
nadi hi deti hai unhen shakl o surat
pravah patit hone ke baad
mayne nahin rakhta
unka apna koi chunav
apni koi pasand
koi ichchha
saath saath bahna
angin thapeDe sahna
talahti mein chupchap paDe rahna
unki niyti hai
lekin khurdure patthar
atmasmarpan nahin karte
pravah se takrate hain
do do haath karte hain
nadi ke shaant snigdh pravah men
shahr ki naav
machate hain halchal
nadi mein sahsa uchhal paDne vali bunden
banne vali uurmiyan
gavah hain iski
khurdure patthar zamin par
mazbuti se tikaye rakhte hain apne paanv
nadi ko sadhne ka
sadhte hain daanv
khurdure patthar nadi ko
phisalne se bachate hain
thamte hain, vilmate hain
nadi ko chhupne ki
sustane ki dete hain thaanv
sahi mayne mein
khurdure patthar hi gaDhte hain nadi ko
dete hain disha aur akar
toDte hain uski ekrasta
gholte hain navinata
rachte hain naya sangit
saundarya ka naya sansar
khuli ankhon se dekhana
khurdure patthron ka khuradurapan
sabkuchh bayan karta hai.
pravah ke saath bahte
chikne patthar
pratirodh nahin karte
unka akar prakar
gati aur sthiti
sab nadi se hai
nadi hi deti hai unhen shakl o surat
pravah patit hone ke baad
mayne nahin rakhta
unka apna koi chunav
apni koi pasand
koi ichchha
saath saath bahna
angin thapeDe sahna
talahti mein chupchap paDe rahna
unki niyti hai
lekin khurdure patthar
atmasmarpan nahin karte
pravah se takrate hain
do do haath karte hain
nadi ke shaant snigdh pravah men
shahr ki naav
machate hain halchal
nadi mein sahsa uchhal paDne vali bunden
banne vali uurmiyan
gavah hain iski
khurdure patthar zamin par
mazbuti se tikaye rakhte hain apne paanv
nadi ko sadhne ka
sadhte hain daanv
khurdure patthar nadi ko
phisalne se bachate hain
thamte hain, vilmate hain
nadi ko chhupne ki
sustane ki dete hain thaanv
sahi mayne mein
khurdure patthar hi gaDhte hain nadi ko
dete hain disha aur akar
toDte hain uski ekrasta
gholte hain navinata
rachte hain naya sangit
saundarya ka naya sansar
khuli ankhon se dekhana
khurdure patthron ka khuradurapan
sabkuchh bayan karta hai.
स्रोत :
पुस्तक : खुरदुरे पत्थर (पृष्ठ 101)
रचनाकार : लोकनाथ
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2024
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.