उनकी आँखों में जादू-सा सम्मोहन था
ज्ञान के दंभ से दमकता था उनका चेहरा
एक रूढ़ हो चुकी
भाषा के तीरकमान थे उनके पास
उन्हें सुने बग़ैर गुज़र पाना मुश्किल था
हर नए आदमी से वे कहते,
‘लेना हो तो झुककर लो’
इस तरह ज्ञान देने से पहले
वे झुकना सिखाते हर एक को
मुस्काते-मुस्काते थकते न उनके होंठ
कोई बोलता तो रोक देते इशारे से
कहते प्रश्नाकुलता अच्छा गुण है
पर बोलने से पहले आज्ञा तो ले लो
हम जो कहते हैं उसी में छुपे हैं समाधान
मनन करो! गूढ़ बातों की तह तक जाओ
गहरे उतरोगे तो
छँट जाएगा आत्मा का अँधकार
भीतर पैठकर ही मिलेंगे ज्ञान के मोती
खोलकर देखो अपने ज्ञान-चक्षुओं को
वे मुक्त होने का मंत्र देते
इस भव की यंत्रणाओं का करते बखान
तरह-तरह से डरना सिखाते
तरह-तरह से करते भय की निष्पत्ति।
unki ankhon mein jadu sa sammohan tha
gyaan ke dambh se damakta tha unka chehra
ek rooDh ho chuki
bhasha ke tirakman the unke paas
unhen sune baghair guzar pana mushkil tha
har ne adami se ve kahte,
‘lena ho to jhukkar lo’
is tarah gyaan dene se pahle
ve jhukna sikhate har ek ko
muskate muskate thakte na unke honth
koi bolta to rok dete ishare se
kahte prashnakulta achchha gun hai
par bolne se pahle aagya to le lo
hum jo kahte hain usi mein chhupe hain samadhan
manan karo! gooDh baton ki tah tak jao
gahre utroge to
chhant jayega aatma ka andhakar
bhitar paithkar hi milenge gyaan ke moti
kholkar dekho apne gyaan chakshuon ko
ve mukt hone ka mantr dete
is bhav ki yantrnaon ka karte bakhan
tarah tarah se Darna sikhate
tarah tarah se karte bhay ki nishpatti.
unki ankhon mein jadu sa sammohan tha
gyaan ke dambh se damakta tha unka chehra
ek rooDh ho chuki
bhasha ke tirakman the unke paas
unhen sune baghair guzar pana mushkil tha
har ne adami se ve kahte,
‘lena ho to jhukkar lo’
is tarah gyaan dene se pahle
ve jhukna sikhate har ek ko
muskate muskate thakte na unke honth
koi bolta to rok dete ishare se
kahte prashnakulta achchha gun hai
par bolne se pahle aagya to le lo
hum jo kahte hain usi mein chhupe hain samadhan
manan karo! gooDh baton ki tah tak jao
gahre utroge to
chhant jayega aatma ka andhakar
bhitar paithkar hi milenge gyaan ke moti
kholkar dekho apne gyaan chakshuon ko
ve mukt hone ka mantr dete
is bhav ki yantrnaon ka karte bakhan
tarah tarah se Darna sikhate
tarah tarah se karte bhay ki nishpatti.
स्रोत :
रचनाकार : हरिओम राजोरिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.