वे रोते-रोते गाने लगीं
या गाते-गाते रो पड़ीं
ठीक-ठीक कह पाना मुश्किल है
घर से निकलीं तो गाते हुए
हाट-बाज़ार में गईं तो गाते-गाते
चक्की पीसी तब भी गाया
आँगन बुहारते वक्त भी
हिलते रहे उनके होठ
अकेले में आई किसी कि याद
तो गाते-गाते भर आया कंठ
गाते-गाते रोटियाँ बनाईं उन्होंने
पापड़ बेले, सेवइयाँ और बड़ी बनाईं गाते-गाते
गाते-गाते क्या नहीं किया उन्होंने
वे उस लोक से
गाते-गाते उतरीं थीं इस धरा पर
जन्मीं तब गाया किसी ने गीत
गीत सुनते-सुनते हुआ उनका जन्म
दुलहन बनीं तो बजे ख़ुशियों के गीत
गाते-गाते विदा हो गईं गाँव से
पराए घर की देहली पर पड़े जब उनके पाँव
गीत सुनकर आँखों में तैरने लगे स्वप्न
वे अगर कभी डगमगाईं तो
किसी गीत की पंक्तियों को गाते-गाते सम्हल गईं
गाना कला नहीं था उनके लिए
वे कुछ कमाने के लिए नहीं गातीं थीं
गीत उनकी ज़रुरत थे
और गीतों को उनकी ज़रुरत थी।
ve rote rote gane lagin
ya gate gate ro paDin
theek theek kah pana mushkil hai
ghar se niklin to gate hue
haat bazar mein gain to gate gate
chakki pisi tab bhi gaya
angan buharte vakt bhi
hilte rahe unke hoth
akele mein aai kisi ki yaad
to gate gate bhar aaya kanth
gate gate rotiyan banain unhonne
papaD bele, sevaiyan aur baDi banain gate gate
gate gate kya nahin kiya unhonne
ve us lok se
gate gate utrin theen is dhara par
janmin tab gaya kisi ne geet
geet sunte sunte hua unka janm
dulhan banin to baje khushiyon ke geet
gate gate vida ho gain gaanv se
paraye ghar ki dehli par paDe jab unke paanv
geet sunkar ankhon mein tairne lage svapn
ve agar kabhi Dagamgain to
kisi git ki panktiyon ko gate gate samhal gain
gana kala nahin tha unke liye
ve kuch kamane ke liye nahin gatin theen
geet unki zarurat the
aur giton ko unki zarurat thi.
ve rote rote gane lagin
ya gate gate ro paDin
theek theek kah pana mushkil hai
ghar se niklin to gate hue
haat bazar mein gain to gate gate
chakki pisi tab bhi gaya
angan buharte vakt bhi
hilte rahe unke hoth
akele mein aai kisi ki yaad
to gate gate bhar aaya kanth
gate gate rotiyan banain unhonne
papaD bele, sevaiyan aur baDi banain gate gate
gate gate kya nahin kiya unhonne
ve us lok se
gate gate utrin theen is dhara par
janmin tab gaya kisi ne geet
geet sunte sunte hua unka janm
dulhan banin to baje khushiyon ke geet
gate gate vida ho gain gaanv se
paraye ghar ki dehli par paDe jab unke paanv
geet sunkar ankhon mein tairne lage svapn
ve agar kabhi Dagamgain to
kisi git ki panktiyon ko gate gate samhal gain
gana kala nahin tha unke liye
ve kuch kamane ke liye nahin gatin theen
geet unki zarurat the
aur giton ko unki zarurat thi.
स्रोत :
रचनाकार : हरिओम राजोरिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.