धीरे बहुत धीरे छूट जाता है सब
अपना घर
अपने लोग
अपना मन
अपना जीवन
जिए हुए के प्रति प्रेम
आने वाले के प्रति ईमानदारी
अपनी इच्छाएँ
और उम्मीदें
धरती की हरी घास का मोह
मिट्टी की कच्ची सुगंध का पाश
हिलते हुए पीले परदों से झाँकती रोशनी
चाँद की क़ीमती ठंडक
सितारों की चमक
और रात के आसमान की नीली रोशनाई
नहरों का गंदला पानी
नदियों की बेख़ौफ़ दौड़
समुद्र का अथाह वितान
ब्रह्मांड की निर्जन हूक
नहीं!
कभी नहीं छूटती
अपनी धरती
अपनी धरती पर बसे हम
हम, ख़ुद से कभी नहीं छूटते
साथ रहता है
अपना आकाश
आकाश को घेरे काले बादल
आकाश का फ़िरोज़ी अपनापन
आकाश की-सी खुली दुनिया
आकाश का अनंत कभी नहीं छूटता
न छूटे
मुझसे या किसी से उसका
आकाश!!
dhire bahut dhire chhoot jata hai sab
apna ghar
apne log
apna man
apna jivan
jiye hue ke prati prem
aane vale ke prati iimandari
apni ichchhayen
aur ummiden
dharti ki hari ghaas ka moh
mitti ki kachchi sugandh ka paash
hilte hue pile pardon se jhankti roshni
chaand ki qimti thanDak
sitaron ki chamak
aur raat ke asman ki nili roshanai
nahron ka gandla pani
nadiyon ki bekhauf dauD
samudr ka athah vitan
brahmanD ki nirjan hook
nahin!
kabhi nahin chhutti
apni dharti
apni dharti par base hum
hum, khud se kabhi nahin chhutte
saath rahta hai
apna akash
akash ko ghere kale badal
akash ka firozi apnapan
akash ki si khuli duniya
akash ka anant kabhi nahin chhutta
na chhute
mujhse ya kisi se uska
akash!!
dhire bahut dhire chhoot jata hai sab
apna ghar
apne log
apna man
apna jivan
jiye hue ke prati prem
aane vale ke prati iimandari
apni ichchhayen
aur ummiden
dharti ki hari ghaas ka moh
mitti ki kachchi sugandh ka paash
hilte hue pile pardon se jhankti roshni
chaand ki qimti thanDak
sitaron ki chamak
aur raat ke asman ki nili roshanai
nahron ka gandla pani
nadiyon ki bekhauf dauD
samudr ka athah vitan
brahmanD ki nirjan hook
nahin!
kabhi nahin chhutti
apni dharti
apni dharti par base hum
hum, khud se kabhi nahin chhutte
saath rahta hai
apna akash
akash ko ghere kale badal
akash ka firozi apnapan
akash ki si khuli duniya
akash ka anant kabhi nahin chhutta
na chhute
mujhse ya kisi se uska
akash!!
स्रोत :
रचनाकार : अदीबा ख़ानम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.