तुम्हारे मौन का मैं अर्थ क्या समझूँ
कि तुम पाषाण से भी—
बढ़ गए, दो-चार डग आगे!
मगर पाषाण में भी तो
प्रगति की आग होती है,
अटल विश्वास होता है—
कहे की लाज होती है,
न हो विश्वास जाकर देख लो—
भटकी निगाहों से—
अभी तक, ताज में, मुमताज की—
आवाज़ रोती है,
हिमालय की कसम तुमको
अजंता की कसम तुमको,
कसम गिरनार की तुमको
कुतुबमीनार की तुमको,
कि जिनकी रूह से अब तक
यही आवाज़ आती है—
मनुज क्या, काल पर भी तो
कला की जीत होती है।
कि तुम इंसान होकर भी
न मेरे गीत सुन पाए,
धधकते होंठ पर मेरे
सिसकते अश्रु पर मेरे,
न तिल भर आज तक
कोई, कभी अरमान धर पाए,
इसी से यदि कहूँ कुछ तो
बुरा मत मानना मुझसे,
भला पाषाण है तुमसे—
कि जो इंसान के आड़े समय पर—
काम आ जाए,
जो रख ले लाज पूजा की—
स्वयं भगवान बन जाए,
तुम्हारे स्नेह का अब अर्थ
क्या समझूँ
कि तुम भगवान से भी बढ़ गए,
दो-चार पग आगे!
tumhare maun ka main arth kya samjhun
ki tum pashan se bhee—
baDh gaye, do chaar Dag aage!
magar pashan mein bhi to
pragti ki aag hoti hai,
atal wishwas hota hai—
kahe ki laj hoti hai,
na ho wishwas jakar dekh lo—
bhatki nigahon se—
abhi tak, taj mein, mumtaj kee—
awaz roti hai,
himale ki kasam tumko
ajanta ki kasam tumko,
kasam girnar ki tumko
kutubminar ki tumko,
ki jinki rooh se ab tak
yahi awaz aati hai—
manuj kya, kal par bhi to
kala ki jeet hoti hai
ki tum insan hokar bhi
na mere geet sun pae,
dhadhakte honth par mere
sisakte ashru par mere,
na til bhar aaj tak
koi, kabhi arman dhar pae,
isi se yadi kahun kuch to
bura mat manna mujhse,
bhala pashan hai tumse—
ki jo insan ke aaDe samay par—
kaam aa jaye,
jo rakh le laj puja kee—
swayan bhagwan ban jaye,
tumhare sneh ka ab arth
kya samjhun
ki tum bhagwan se bhi baDh gaye,
do chaar pag aage!
tumhare maun ka main arth kya samjhun
ki tum pashan se bhee—
baDh gaye, do chaar Dag aage!
magar pashan mein bhi to
pragti ki aag hoti hai,
atal wishwas hota hai—
kahe ki laj hoti hai,
na ho wishwas jakar dekh lo—
bhatki nigahon se—
abhi tak, taj mein, mumtaj kee—
awaz roti hai,
himale ki kasam tumko
ajanta ki kasam tumko,
kasam girnar ki tumko
kutubminar ki tumko,
ki jinki rooh se ab tak
yahi awaz aati hai—
manuj kya, kal par bhi to
kala ki jeet hoti hai
ki tum insan hokar bhi
na mere geet sun pae,
dhadhakte honth par mere
sisakte ashru par mere,
na til bhar aaj tak
koi, kabhi arman dhar pae,
isi se yadi kahun kuch to
bura mat manna mujhse,
bhala pashan hai tumse—
ki jo insan ke aaDe samay par—
kaam aa jaye,
jo rakh le laj puja kee—
swayan bhagwan ban jaye,
tumhare sneh ka ab arth
kya samjhun
ki tum bhagwan se bhi baDh gaye,
do chaar pag aage!
स्रोत :
पुस्तक : कविता सदी (पृष्ठ 362)
संपादक : सुरेश सलिल
रचनाकार : देवीप्रसाद 'राही'
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.