वह हाशिए पर
फेंके के जाने के विरुद्ध
अपनी रीढ़ को झुका लेते हैं
कितना पीडादाई है!
उनके घुटनों का ढह जाना
और लटक जाना
किसी पैंडूलम की तरह;
परिदृश्य में रहने से
भविष्य के सुनहरे पंख निकाल आते हैं,
माज़ी के तलवों पर लगी मिट्टी भी झड़ जाती है,
दिन दूधिया हो जाते हैं
और कुछ शामें सड़कों पर उभरते शोर में रपट जाती हैं
किंतु सीधी रीढ़ ख़र्च नहीं होती
हाँफते हुए जीवन पर,
ना बाजों की तरह झपटते
धर्म के पहरेदारों पर,
ना आस्था के पैंतरों पर,
उसके प्राण अटक जाते हैं बस
ईमानदार स्वीकृतियों पर।
wo hashiye par
phenke ke jane ke viruddh
apni reeDh ko jhuka lete hain
kitna piDadai hai!
unke ghutnon ka Dhah jana
aur latak jana
kisi painDulam ki tarah;
paridrishya mein rahne se
bhavishya ke sunahre pankh nikal aate hain,
mazi ke talvon par lagi mitti bhi jhaD jati hai,
din dudhiya ho jate hain
aur kuch shamen saDkon par ubharte shor mein rapat jati hain
kintu sidhi reeDh kharch nahin hoti
hanphate hue jivan par,
na bajon ki tarah jhapatte
dharm ke pahredaron par,
na astha ke paintron par,
uske praan atak jate hain bas
iimandar svikritiyon par.
wo hashiye par
phenke ke jane ke viruddh
apni reeDh ko jhuka lete hain
kitna piDadai hai!
unke ghutnon ka Dhah jana
aur latak jana
kisi painDulam ki tarah;
paridrishya mein rahne se
bhavishya ke sunahre pankh nikal aate hain,
mazi ke talvon par lagi mitti bhi jhaD jati hai,
din dudhiya ho jate hain
aur kuch shamen saDkon par ubharte shor mein rapat jati hain
kintu sidhi reeDh kharch nahin hoti
hanphate hue jivan par,
na bajon ki tarah jhapatte
dharm ke pahredaron par,
na astha ke paintron par,
uske praan atak jate hain bas
iimandar svikritiyon par.
स्रोत :
रचनाकार : ऋतु त्यागी
प्रकाशन : हिंदवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.