किसी ने रख दिया पीठ पर हाथ
क्या से क्या हो गया
किसी ने ठोंक दी
जीवन धन्य हुआ या लगा
किसी ने थपथपाई
मनोबल दूना हुआ
किसी ने सहलाई
मन आत्मीयता से भींग-भींग गया
दोस्तों को वार के लिए
मिली सुरक्षित ज़गह
चुग़लख़ोरों को मिली
आड़
पीठ न होती
तो पता नहीं कहाँ लदा होता
ज़िंदगी का पहाड़
पीठ के निचले हिस्से की नाड़ियों में
छुपा होता है स्वप्नों का खज़ाना
तमाम कुंठाएँ और अभिलाषाएँ
वहीं ठीक वहीं पड़ी रहती है
हमारी रीढ़
जो तनी रहती है
तो रहता है हमारा सिर लगातार जोख़िम में
और होकर भी नहीं होती तो
कुछ लोग पता नहीं कितनी बुलंदियों पर होते
रीढ़ के लचीलेपन में
छिपे हैं सफलता के तमाम मंत्र
दरअसल पीठ वह म्यान है
जिसमें रहती है
रीढ़ जैसी धारदार तलवार।
kisi ne rakh diya peeth par haath
kya se kya ho gaya
kisi ne thonk di
jivan dhanya hua ya laga
kisi ne thapthapai
manobal duna hua
kisi ne sahlai
man atmiyata se bheeng bheeng gaya
doston ko vaar ke liye
mili surakshit zagah
chugalkhoron ko mili
aaD
peeth na hoti
to pata nahin kahan lada hota
zindagi ka pahaD
peeth ke nichle hisse ki naDiyon men
chhupa hota hai svapnon ka khazana
tamam kunthayen aur abhilashayen
vahin theek vahin paDi rahti hai
hamari reeDh
jo tani rahti hai
to rahta hai hamara sir lagatar jokhim men
aur hokar bhi nahin hoti to
kuch log pata nahin kitni bulandiyon par hote
reeDh ke lachilepan men
chhipe hain saphalta ke tamam mantr
darasal peeth wo myaan hai
jismen rahti hai
reeDh jaisi dharadar talvar.
kisi ne rakh diya peeth par haath
kya se kya ho gaya
kisi ne thonk di
jivan dhanya hua ya laga
kisi ne thapthapai
manobal duna hua
kisi ne sahlai
man atmiyata se bheeng bheeng gaya
doston ko vaar ke liye
mili surakshit zagah
chugalkhoron ko mili
aaD
peeth na hoti
to pata nahin kahan lada hota
zindagi ka pahaD
peeth ke nichle hisse ki naDiyon men
chhupa hota hai svapnon ka khazana
tamam kunthayen aur abhilashayen
vahin theek vahin paDi rahti hai
hamari reeDh
jo tani rahti hai
to rahta hai hamara sir lagatar jokhim men
aur hokar bhi nahin hoti to
kuch log pata nahin kitni bulandiyon par hote
reeDh ke lachilepan men
chhipe hain saphalta ke tamam mantr
darasal peeth wo myaan hai
jismen rahti hai
reeDh jaisi dharadar talvar.
स्रोत :
रचनाकार : अभिज्ञात
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.