शांत और ख़ामोश - प्यारे भाई ख़रगोश! तुम मेरे गुरु हो,
दार्शनिक हो
तुम्हारी ज़िंदगी से मैंने शांत ज़िंदगी बिताना सीखा है
क्योंकि तुम एकांत समाधि में ही जीवन का तत्त्व खोजते हो
संसार की गति तुम्हें नहीं व्यापती!
तुम ज्ञान के खोजी हो
जैसे कोई पूरी किताब के पत्ते चाट जाए
उसी तरह तुम बंदगोभी के सभी पन्ने चाट जाते हो
और संत साइमन की तरह अपने बिल में बैठे-बैठे
चिड़ियों को देखा करते हो
अपने इष्ट देवता से कहो कि
स्वर्ग में तुम्हें एक बाग़ बनवा दे
जिस बाग़ में स्वर्गीय करमकल्ले लगे हों
नाक डुबाने के लिए एक स्वच्छ पानी का सोता हो
और तुम्हारे सिर पर फ़ाख़्ते उड़ा करें
तुम्हारे चारों ओर के वातावरण में पवित्रता छाई रहती है।
परम पिता संत फ़्रासिस का आशीर्वाद
तुम्हारी मृत्यु के दिन तुम्हारे सिरहाने रहेगा
और स्वर्ग में छोटे-छोटे बच्चे
तुम्हारे लंबे-लंबे कानों से खेलेंगे!
shaant aur khamosh pyare bhai khargosh! tum mere guru ho,
darshanik ho
tumhari zindagi se mainne shaant zindagi bitana sikha hai
kyonki tum ekaant samadhi mein hi jivan ka tattv khojte ho
sansar ki gati tumhein nahin vyapti!
tum gyaan ke khoji ho
jaise koi puri kitab ke patte chaat jaye
usi tarah tum bandgobhi ke sabhi panne chaat jate ho
aur sant saiman ki tarah apne bil mein baithe baithe
chiDiyon ko dekha karte ho
apne isht devta se kaho ki
svarg mein tumhein ek baagh banva de
jis baagh mein svargiy karamkalle lage hon
naak Dubane ke liye ek svachchh pani ka sota ho
aur tumhare sir par fakhte uDa karen
tumhare charon or ke vatavran mein pavitarta chhai rahti hai.
param pita sant frasis ka ashirvad
tumhari mrityu ke din tumhare sirhane rahega
aur svarg mein chhote chhote bachche
tumhare lambe lambe kanon se khelenge!

स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 87)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : जार्ज करेरा अन्द्रादे
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.