मेरी इच्छा-सूची में कोई विज्ञापन नहीं है
किसी सन-फ़्लावर से छुई धूप
या लाल अमरूद की जड़ पानी में डूबती छाया नहीं है
रेलगाड़ी का धुआँ उक्ति है
किसी दुर्दिन से निकलने के लिए
बिल्ली की तरल आँख
बड़ी शांति से खाता है अभिनेता
आँसू-गैस शांतिपर्व पर सहभागिता से बाँटी जाती है
हम उस फूल से वाक़िफ़ थे
जो हमारा तुम्हारा ‘मैं’ तोड़कर
पराग में महकता है
मैंने तोड़-फोड़ के उपरांत
कुल उपेक्षित शांति
लज्जित क्रोध नहीं त्यागा
मुझे तुम्हारी गुलाबी नज़र
मुझे तुम्हारी गला काटती सड़क
कुआँ पाटती आदत
गुलगुली होती ‘ही ही’ नहीं चाहिए
अब कि साँय बिना चमगादड़ की चर्रा जाती है
अब कि सुबह बिना कौआ की उतर आती है
जानवर और आदमी की संधि के लिए
ज़रूरी होने लगी है एक आदमी और एक आदमी की सहमति
अब कि ज़मीन पर कभी भी मौत आ सकती है बेपैर
हत्या की सारी सुविधाएँ सुरक्षा के विशेषण बन गईं
अब कि हो जाए अब से पार
हमें उसकी उँगली में गहराती स्याही पहचाननी होगी
उसकी काँख में सुस्ताता तिल ढूँढना ही होगा
एक बिल्ली को बचाने के लिए
खंडित उदास चेहरे की मोम पिघलानी होगी
नाख़ून पर गर्म भंगिमा हेतु
बचाकर रखना होगा साँप सीढ़ी का सौवाँ अंक।
meri ichchha suchi mein koi vigyapan nahin hai
kisi san flavar se chhui dhoop
ya laal amrud ki jaD pani mein Dubti chhaya nahin hai
relgaDi ka dhuan ukti hai
kisi durdin se nikalne ke liye
billi ki taral ankh
baDi shanti se khata hai abhineta
ansu gais shantiparv par sahbhagita se banti jati hai
hum us phool se vaqif the
jo hamara tumhara ‘main’ toDkar
praag mein mahakta hai
mainne toD phoD ke upraant
kul upekshit shanti
lajjit krodh nahin tyaga
mujhe tumhari gulabi nazar
mujhe tumhari gala katti saDak
kuan patti aadat
gulguli hoti ‘hi hee’ nahin chahiye
ab ki sanya bina chamgadaD ki charra jati hai
ab ki subah bina kaua ki utar aati hai
janvar aur adami ki sandhi ke liye
zaruri hone lagi hai ek adami aur ek adami ki sahamti
ab ki zamin par kabhi bhi maut aa sakti hai bepair
hatya ki sari suvidhayen suraksha ke visheshan ban gain
ab ki ho jaye ab se paar
hamein uski ungli mein gahrati syahi pahchanni hogi
uski kaankh mein sustata til DhunDhna hi hoga
ek billi ko bachane ke liye
khanDit udaas chehre ki mom pighlani hogi
nakhun par garm bhangima hetu
bachakar rakhna hoga saanp siDhi ka sauvan ank.

स्रोत :
रचनाकार : सत्यव्रत रजक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.