तुम चली गई
नहीं हो अब
इस जागती पर
मैंने तुम्हारे यादों को संजोया
वस्तुओं को संजोए रखा
किंतु समय के साथ
जीर्ण-शीर्ण होकर
एक-एक कर
वे भी विलीन हो गए
मैंने तुम्हारी
तस्वीरों को संजोया
समय के प्रवाह के साथ
धीरे-धीरे तस्वीरें भी
मालिन पड़ गए
मेरे साथ रह गई
तुम्हारी स्मृतियाँ
तुम्हारे साथ बिताए
सुख-दुख के
उन लम्हों की यादें
कुछ अंतरंग बातें
किंतु स्मृतियाँ भी
विलीन होती जा रही हैं
काल के गाल में
क्षीण होती जा रही है
मेरी स्मरण शक्ति भी अब
उन स्मृतियों में कोई
तारतम्य अब नहीं बैठता।
जनता हूँ
वह भी धीरे-धीरे
विलीन हो जाएँगी
कुछ भी नहीं बचेगा
न तुम रही,
न तुम्हारी यादें रहेंगी
न ही मैं रहूँगा।
सब कुछ नश्वर है
इस पृथ्वी पर
कुछ भी नहीं बचता।
मनुष्य/जीव जंतु
वृक्ष/पेड़ पौधे
पहाड़ नदी
सब मरते हैं
कल तक ये
केवल वाक्य थे
मेरे लिए
सिद्धांत थे
किंतु आज इनका अर्थ
समझ में आ रहा है
tum chali gai
nahin ho ab
is jagti par
mainne tumhare yadon ko sanjoya
vastuon ko sanjoe rakha
kintu samay ke saath
jeern sheern hokar
ek ek kar
ve bhi vilin ho ge
mainne tumhari
tasviron ko sanjoya
samay ke pravah ke saath
dhire dhire tasviren bhi
malin paD ge
mere saath rah gai
tumhari smritiyan
tumhare saath bitaye
sukh dukh ke
un lamhon ki yaden
kuch antrang baten
kintu smritiyan bhi
vilin hoti ja rahi hain
kaal ke gaal mein
ksheen hoti ja rahi hai
meri smran shakti bhi ab
un smritiyon mein koi
taratamya ab nahin baithta.
janta hoon
wo bhi dhire dhire
vilin ho jayengi
kuch bhi nahin bachega
na tum rahi,
na tumhari yaden rahengi
na hi main rahunga.
sab kuch nashvar hai
is prithvi par
kuch bhi nahin bachta.
manushya/jiv jantu/
vriksh/peD paudhe
pahaD nadi
sab marte hain
kal tak ye
keval vakya the
mere liye
siddhant the
kintu aaj inka arth
samajh mein aa raha hai
tum chali gai
nahin ho ab
is jagti par
mainne tumhare yadon ko sanjoya
vastuon ko sanjoe rakha
kintu samay ke saath
jeern sheern hokar
ek ek kar
ve bhi vilin ho ge
mainne tumhari
tasviron ko sanjoya
samay ke pravah ke saath
dhire dhire tasviren bhi
malin paD ge
mere saath rah gai
tumhari smritiyan
tumhare saath bitaye
sukh dukh ke
un lamhon ki yaden
kuch antrang baten
kintu smritiyan bhi
vilin hoti ja rahi hain
kaal ke gaal mein
ksheen hoti ja rahi hai
meri smran shakti bhi ab
un smritiyon mein koi
taratamya ab nahin baithta.
janta hoon
wo bhi dhire dhire
vilin ho jayengi
kuch bhi nahin bachega
na tum rahi,
na tumhari yaden rahengi
na hi main rahunga.
sab kuch nashvar hai
is prithvi par
kuch bhi nahin bachta.
manushya/jiv jantu/
vriksh/peD paudhe
pahaD nadi
sab marte hain
kal tak ye
keval vakya the
mere liye
siddhant the
kintu aaj inka arth
samajh mein aa raha hai
स्रोत :
रचनाकार : कलानाथ मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.